Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zaheer Aatish

Zaheer Aatish

Doha 5

dāman-e-sub.h par phail ga.e rañg birañge phuul

in raunaq har jagah ghar ho schōl

daman-e-subh par phail gae rang birange phul

in ki raunaq har jagah ghar ho ya school

karnā ho to yuuñ karo jīvan upyog

naam tumhārā dohrā.eñ aane vaale log

karna ho to yun karo jiwan ka upyog

nam tumhaara dohraen aane wale log

jebeñ ḳhālī ho ga.iiñ chup hai ab insān

bin paanī ke jis tarah machhlī ho be-jān

jeben KHali ho gain chup hai ab insan

bin pani ke jis tarah machhli ho be-jaan

dekh ke bistar aa gayā hameñ niiñd dhyān

ġhā.eb hai talvār kahīñ bachī hai ḳhālī myaan

dekh ke bistar aa gaya hamein nind ka dhyan

ghaeb hai talwar kahin bachi hai KHali myan

saḌī-galī ik laash ko noch rahī hai chiil

ab to shahr meñ rahne raa.e karo tabdīl

saDi-gali ek lash ko noch rahi hai chil

ab to shahr mein rahne ki rae karo tabdil

Recitation

Speak Now