aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zahida Zaidi's Photo'

Zahida Zaidi

1930 - 2011 | Aligarh, India

One of the leading women poets in India.

One of the leading women poets in India.

Sher of Zahida Zaidi

muḌ ke dekhā to hameñ chhoḌ ke jaatī thī hayāt

ham ne jaanā thā koī bojh girā hai sar se

muD ke dekha to hamein chhoD ke jati thi hayat

hum ne jaana tha koi bojh gira hai sar se

zindagī ne to sach hai ki vafā ham se na

ham magar ḳhud tujhe Thukrā.eñ zarūrī to nahīñ

zindagi tu ne to sach hai ki wafa hum se na ki

hum magar KHud tujhe Thukraen zaruri to nahin

kabhī ishq sāz-e-hayāt thā kabhī soz-e-dil ne jalā diyā

kabhī vasl meñ bhī kasak rahī kabhī dard-o-ġham ne bhī mazā diyā

kabhi ishq saz-e-hayat tha kabhi soz-e-dil ne jala diya

kabhi wasl mein bhi kasak rahi kabhi dard-o-gham ne bhi maza diya

hamīñ se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahrī

hamīñ ko sauñpī ga.ī ġham pāsbānī bhī

hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri

hamin ko saunpi gai gham ki pasbani bhi

ḳhvāb to ḳhvāb haiñ pal bhar meñ bikhar jaate haiñ

sach to ye hai ki bas ik kāhish-e-jāñ raqs meñ hai

KHwab to KHwab hain pal bhar mein bikhar jate hain

sach to ye hai ki bas ek kahish-e-jaan raqs mein hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now