Sher of Zameer Atraulvi
ḳhuun ke jo rishte the ban ga.e azāb-e-jāñ
ham ko dal ke rishtoñ se istifāda pahuñchā hai
KHun ke jo rishte the ban gae azab-e-jaan
hum ko dal ke rishton se istifada pahuncha hai
izn sūraj kī kiran ko nahīñ jaane kā jahāñ
merī taḳh.īl kā shāhīn vahāñ bhī pahuñchā
izn suraj ki kiran ko nahin jaane ka jahan
meri taKHil ka shahin wahan bhi pahuncha
ġharībī naam hai jis kā azāb-e-jān hotī hai
magar daulat kī kasrat mohlik-e-īmān hotī hai
gharibi nam hai jis ka azab-e-jaan hoti hai
magar daulat ki kasrat mohlik-e-iman hoti hai
koī bhūkā jo fart-e-zo.af se kuchh laḌkhaḌā jaa.e
to duniyā tanz kastī hai use mad-mast kahtī hai
koi bhuka jo fart-e-zoaf se kuchh laDkhaDa jae
to duniya tanz kasti hai use mad-mast kahti hai
hazāroñ zulm hoñ mazlūm par to chup rahe duniyā
agar mazlūm kuchh bole to dahshat-gard kahtī hai
hazaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniya
agar mazlum kuchh bole to dahshat-gard kahti hai
umr bhar jis ne kisī kā hukm maanā hī nahīñ
nafs kā apne magar vo shaḳhs kārinda rahā
umr bhar jis ne kisi ka hukm mana hi nahin
nafs ka apne magar wo shaKHs karinda raha