Sher of Ziauddin Ahmad Shakeb
dīvāna-e-justujū ho gayā chāñd
bādal se gir ke kho gayā chāñd
diwana-e-justuju ho gaya chand
baadal se gir ke kho gaya chand
aql kuchh ziist kī kafīl nahīñ
zindagī itnī be-sabīl nahīñ
aql kuchh zist ki kafil nahin
zindagi itni be-sabil nahin
aap ke saath muskurāne meñ
zindagī ek phuul hotī hai
aap ke sath muskurane mein
zindagi ek phul hoti hai
muḳhtasar bāt-chīt achchhī hai
lekin itnā bhī iḳhtisār na kar
muKHtasar baat-chit achchhi hai
lekin itna bhi iKHtisar na kar
aariz se tire sub.h kī tohmat na uThegī
zulfoñ pe tirī shaam kā ilzām rahegā
aariz se tere subh ki tohmat na uThegi
zulfon pe teri sham ka ilzam rahega
fikr-mandī fuzūl hotī hai
koshish-e-dil qubūl hotī hai
fikr-mandi fuzul hoti hai
koshish-e-dil qubul hoti hai
merī tajvīz par ḳhafā kyuuñ ho
baat kuchh aql ke ḳhilāf nahīñ
meri tajwiz par KHafa kyun ho
baat kuchh aql ke KHilaf nahin
hameñ bhī zarūrat thī ik shaḳhs kī
ye husn-e-tasādum bahut ḳhuub hai
hamein bhi zarurat thi ek shaKHs ki
ye husn-e-tasadum bahut KHub hai
isī tarah bāteñ kiye jā.iye
ye tarz-e-takallum bahut ḳhuub hai
isi tarah baaten kiye jaiye
ye tarz-e-takallum bahut KHub hai
yaqīñ gar karo tum bahut ḳhuub hai
ye be-jā tabassum bahut ḳhuub hai
yaqin gar karo tum bahut KHub hai
ye be-ja tabassum bahut KHub hai
itne nādim na hoiye āḳhir
achchhe-achchhoñ se bhuul hotī hai
itne nadim na hoiye aaKHir
achchhe-achchhon se bhul hoti hai
paḌtī nahīñ hai dil pe tire husn kī kiran
kis samt mere chāñd daraḳhshāñ hai āj-kal
paDti nahin hai dil pe tere husn ki kiran
kis samt mere chand daraKHshan hai aaj-kal
ham se vaa.iz ne baat kī hotī
gumrahī apnī be-dalīl nahīñ
hum se waiz ne baat ki hoti
gumrahi apni be-dalil nahin
jab tak ki mohabbat kā chalan aam rahegā
har lab pe mirā zikr mirā naam rahegā
jab tak ki mohabbat ka chalan aam rahega
har lab pe mera zikr mera nam rahega
go unheñ rāh-e-inhirāf nahīñ
phir bhī ummīd-e-e'tirāf nahīñ
go unhen rah-e-inhiraf nahin
phir bhi ummid-e-e'tiraf nahin
junūñ sho.ala-sāmāñ ḳhirad shabnam-afshāñ
ḳhudā jaane ye jaan jiite ki haare
junun shoala-saman KHirad shabnam-afshan
KHuda jaane ye jaan jite ki haare
gosh-e-mushtāq-e-sadā-e-nāla-e-dil ab kahāñ
sher agar dil ke lahū meñ Duub kar nikle to kyā
gosh-e-mushtaq-e-sada-e-nala-e-dil ab kahan
sher agar dil ke lahu mein Dub kar nikle to kya
pās-e-pindār-e-tabī.at dil agar rakh le to kyā
hai vajūd-e-dard mohkam zabt-e-ġham kar le to kyā
pas-e-pindar-e-tabiat dil agar rakh le to kya
hai wajud-e-dard mohkam zabt-e-gham kar le to kya