Sher of Zoya Shaikh
ḳhāmushī kā sabab nahīñ kuchh bhī
mujh ko bas guftugū se nafrat hai
KHamushi ka sabab nahin kuchh bhi
mujh ko bas guftugu se nafrat hai
vo mirī sādgī pe martā hai
mujh ko gahnoñ kī kyā zarūrat hai
wo meri sadgi pe marta hai
mujh ko gahnon ki kya zarurat hai
suno aao nayā ik zaḳhm baḳhsho
tumhārā hijr būḌhā ho gayā hai
suno aao naya ek zaKHm baKHsho
tumhaara hijr buDha ho gaya hai
ḳhuddār ḳhud-parast haiñ ziddī balā ke haiñ
ham jo ga.e to lauT kar vāpas na ā.eñge
KHuddar KHud-parast hain ziddi bala ke hain
hum jo gae to lauT kar wapas na aaenge
phir yuuñ huā ki zindagī ik bojh ban ga.ī
ik shaḳhs mere haath se yak-laḳht kho gayā
phir yun hua ki zindagi ek bojh ban gai
ek shaKHs mere hath se yak-laKHt kho gaya
ishq hai mujh se use yā ki faqat hamdardī
jab bhī vo chhoḌ ke jaatā hai palaT aatā hai
ishq hai mujh se use ya ki faqat hamdardi
jab bhi wo chhoD ke jata hai palaT aata hai
hameñ us se judā honā paḌā thā
hamāre beach duniyā aa ga.ī thī
hamein us se juda hona paDa tha
hamare beach duniya aa gai thi