Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zubair Qaisar's Photo'

Zubair Qaisar

1975 | Attock, Pakistan

Zubair Qaisar

Ghazal 17

Sher-o-Shayari 6

ye nafsiyātī marīzoñ shahr hai 'qaisar'

koī savāl uThāoge maare jāoge

ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar'

koi sawal uThaoge mare jaoge

tirā javāb mire kaam nahīñ hai ab

ki maiñ to bhuul chukā huuñ savāl vaise

tera jawab mere kaam ka nahin hai ab

ki main to bhul chuka hun sawal waise hi

tirī tasvīr uThā.ī huī hai

raushnī ḳhvāb meñ aa.ī huī hai

teri taswir uThai hui hai

raushni KHwab mein aai hui hai

maiñ us ke jaal meñ ā.ūñgā dekhnā 'qaisar'

vo mujh ko dhoke se ghar meñ bulā ke māregā

main us ke jal mein aaunga dekhna 'qaisar'

wo mujh ko dhoke se ghar mein bula ke marega

sub.h tak be-talab maiñ jāgūñgā

aaj to be-sabab maiñ jāgūñgā

subh tak be-talab main jagunga

aaj to be-sabab main jagunga

More Poets From "Attock"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now