Best short sayings in Urdu
Assorted quotes that
are the very definition of short, sharp, and simple. Pen them down on your personal diary or inscribe one on your coffee-mug, whatever you choose to do, they'll be etched in your memory for long!
Duniya mein jitni laantein hain, bhook unki maan hai.

Bhook kisi qism ki bhi ho, bahut khatarnaak hai.

Ghussa jitna kam hoga, uski jagah udaasi leti jaaegi.

Jism daagha ja sakta hai magar rooh nahi daaghi ja sakti.

Har aurat vaishya nahi hoti lekin har vaishya aurat hoti hai, is baat ko hamesha yaad rakhna chaahiye.

Zabaan banaai nahi jaati, khud banti hai aur na insaani koshishein kisi zabaan ko fanaa kar sakti hain.

Har dukh, har 'azaab ke baad zindagi aadmi par apna eik raaz khol deti hai.

Har haseen cheez insaan ke dil mein apni waq'at paida kar deti hai. Khwaah insaan ghair-tarbiyat-yaafta hi kyun na ho?

Kitaabon ki duniya murdon aur zindon donon ke beech ki duniya hai.

Vaishya paida nahi hoti, banaai jaati hai ya khud banti hai.

Qaumon ko jungein tabaah nahi kartin. Qaumein us waqt tabaah hoti hain, jab jung ke maqaasid badal jaate hain.

Har daur adab paida karne ke apne nuskhe saath lekar aata hai.

Kahte hain cigarette ke doosre sire par jo raakh hoti hai, dar-asl woh peene waale ki hoti hai.

Aaj ka likhne waala Ghalib aur Meer nahi ban sakta. Woh shaa'iraana azmat aur maqbooliyat uska muqaddar nahi hai. Isliye ki woh eik bahre, goonge, andhe mu'aashre mein paida hua hai.

Soz-o-gudaaz mein jab pukhtagi aa jaati hai to ghum, ghum nahi rahta balki eik roohaani sanjeedagi mein badal jaata hai.

Aap dimaaghi taur par aleel hain, to jismaani mazbooti se aap shifa nahi paa sakte.

Tanhaai ka ehsaas agar bimaari na ban jaye to usi tarah aarzi hai jaise maut ka khauf.

Urdu shaairi ka pas-manzar poori zindagi hai.

Taaj Mahal usi baawarchi ke zamaane mein tayyaar ho sakta tha jo eik chane se saath khaane tayyaar kar sakta tha.

Har ma‘qool aadmi ka biwi se jhagra hota hai kyunki mard aurat ka rishta hi jhagde ka hai.

Dar-asl shaadi ek lafz nahi poora fiqra hai.

Rishton ki talaash eik dard bhara amal hai. Magar hamaare zamaane mein shaayad woh ziyaada hi pecheeda aur dard bhara ho gaya hai.

Zindagi ke khaariji masaa'il ka hal shaa'iri nahi, lekin woh daakhili masaa'il ka hal zaroor hai.

Har matrook lafz eik gumshuda shahar hai aur har matrook usloob-e-bayaan eik chhoda hua ilaaqa.

Agar yeh baat theek hai ki mehmaan ka darja Bhagwaan ka hai, to main badi nimrata se aap ke saamne haath jod kar kahoonga ki mujhe Bhagwaan se bhi nafrat hai!

rumani shaa'iri aur rumaani afsaana Urdu adab ke seem-zada ilaaqe hain.

Alif Laila ko bas yun samajh lijiye ki saare Arabon ne ya eik poori tahzeeb ne use tasneef kiya hai.

Jo darwaaze m'aashi kashmakash ne eik dafa khol diye hon, bahut mushkil se band kiye ja sakte hain.

Ghum ka bhi eik tarbiya pahloo hota hai aur nishaat ka bhi eik alamiya pahloo hota hai.

Insani umr ki sirf teen hi sooratein hain. Jo aani, jawaani aur jo aayi.

Apni aarzoo ki umr ko taweel banaana chaho, to use kabhi poora na hone do.

Kisi qaum ko ahmaq banaana ho to us qaum ke bachchon ko aasaan aur sahaj lafzon ke badle jabda-tod lafz ghuntwa dijiye. Sab bachche ahmaq ho jaayenge.

Asl mein hamaare yahaan maulviyon aur adeebon ka zehni irtiqa eik hi khutoot par hua hai.

Afsaane ka main tasavvur hi yun karta hoon jaise wo phulwaari hai, jo zameen se ugti hai.