Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arif Imam's Photo'

Arif Imam

1956 | USA

Sher of Arif Imam

2.3K
Favorite

SORT BY

talāsh-e-rizq ye marhala ajab hai ki ham

gharoñ se duur bhī ghar ke liye base hue haiñ

talash-e-rizq ka ye marhala ajab hai ki hum

gharon se dur bhi ghar ke liye base hue hain

banā rahā huuñ abhī ghar ko ā.ina-ḳhāna

phir apne haath meñ patthar bhī dekhnā hai mujhe

bana raha hun abhi ghar ko aaina-KHana

phir apne hath mein patthar bhi dekhna hai mujhe

tumhāre hijr meñ marnā thā kaun mushkil

tumhāre hijr meñ zinda haiñ ye kamāl kiyā

tumhaare hijr mein marna tha kaun sa mushkil

tumhaare hijr mein zinda hain ye kamal kiya

havas na jaan tujhe chhū ke dekhnā ye hai

tujhe dekh rahe haiñ ki ḳhvāb dekhte haiñ

hawas na jaan tujhe chhu ke dekhna ye hai

tujhe hi dekh rahe hain ki KHwab dekhte hain

ik baras ho gayā use dekhe

ik sadī aa ga.ī hai saal ke biich

ek baras ho gaya use dekhe

ek sadi aa gai hai sal ke bich

subū meñ aks-e-ruḳh-e-māhtāb dekhte haiñ

sharāb piite nahīñ ham sharāb dekhte haiñ

subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain

sharab pite nahin hum sharab dekhte hain

abhī to maiñ ne faqat bārishoñ ko jhelā hai

ab is ke ba.ad samundar bhī dekhnā hai mujhe

abhi to main ne faqat barishon ko jhela hai

ab is ke baad samundar bhi dekhna hai mujhe

apne pairoñ se apnā-āp rauñd

apnī hastī ko miTā kar raqs kar

apne hi pairon se apna-ap raund

apni hasti ko miTa kar raqs kar

ek parda hai be-sabātī

aa.ine aur tire jamāl ke biich

ek parda hai be-sabaati ka

aaine aur tere jamal ke bich

usī baat likhī chāhe kam likhī ham ne

usī zikr kiyā chāhe ḳhāl-ḳhāl kiyā

usi ki baat likhi chahe kam likhi hum ne

usi ka zikr kiya chahe KHal-KHal kiya

ye miTTī mere ḳhāl-o-ḳhad churā kar

tirā chehra banātī rahī hai

ye miTTi mere KHal-o-KHad chura kar

tera chehra banati ja rahi hai

ḳhuun kitnā bahā thā maqtal meñ

merī āñkhoñ meñ ḳhuun utarne tak

KHun kitna baha tha maqtal mein

meri aankhon mein KHun utarne tak

ajab thā nashsha-e-vāraftagī-e-vasl use

vo tāza-dam rahā mujh ko niDhāl kar ke bhī

ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use

wo taza-dam raha mujh ko niDhaal kar ke bhi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now