Sher of Mirza Daood Beg
shīsha-e-ābrū sambhāl ai dil
daur ulTā chalā hai duniyā kā
shisha-e-abru sambhaal ai dil
daur ulTa chala hai duniya ka
dekhnā hai piyā kī zulf-e-darāz
yā ilāhī mujhe de umr-e-darāz
dekhna hai piya ki zulf-e-daraaz
ya ilahi mujhe de umr-e-daraaz
'valī' saanī nahīñ dā.ūd lekin
ġhazal kahtā hai har ik bā-talāzum
'wali' sani nahin daud lekin
ghazal kahta hai har ek ba-talazum
sun nasīhat mirī ai zāhid-e-ḳhushk
ashk ke aab bin vuzū mat kar
sun nasihat meri ai zahid-e-KHushk
ashk ke aab bin wuzu mat kar
piv binā dil mirā udāsī hai
gaah jogī hai gaah sanyāsī hai
piw bina dil mera udasi hai
gah jogi hai gah sanyasi hai
har kitāb-e-sohbat-e-rañgīñ ke ma.anī dekh kar
fard-e-tanhā.ī ke mazmūñ kuuñ kiyā huuñ intiḳhāb
har kitab-e-sohbat-e-rangin ke mani dekh kar
fard-e-tanhai ke mazmun kun kiya hun intiKHab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yak qadam rāh-e-dost hai 'dā.ūd'
lekin afsos pā-e-baḳht hai lañg
yak qadam rah-e-dost hai 'daud'
lekin afsos pa-e-baKHt hai lang
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh hijr kī agan kuuñ būjhāne ai sañg dil
koī āb-zan-rafīq ba-juz chashm-e-tar nahīñ
tujh hijr ki agan kun bujhane ai sang dil
koi aab-zan-rafiq ba-juz chashm-e-tar nahin
diyā us ḳhush-nayan ne raat kuuñ mujh kuuñ surāġh apnā
kiyā maiñ roġhan-e-bādām suuñ raushan charāġh apnā
diya us KHush-nayan ne raat kun mujh kun suragh apna
kiya main roghan-e-baadam sun raushan charagh apna
saaf dil ho gar hai tujh kuuñ ḳhvāhish-e-tark-e-havā
āb-e-ā.īna upar aatā nahīñ hargiz habāb
saf dil ho gar hai tujh kun KHwahish-e-tark-e-hawa
aab-e-aina upar aata nahin hargiz habab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raqam karne kuuñ vasf-e-zulf-e-dildār
mujhe har vaqt mashq-e-lām hai bas
raqam karne kun wasf-e-zulf-e-dildar
mujhe har waqt mashq-e-lam hai bas
sar kaaT kyuuñ jalāte haiñ raushan dilāñ ke ta.iiñ
āhan-dilī pe ḳhalq kī ḳhandāñ huuñ misl-e-sham.a
sar kaT kyun jalate hain raushan dilan ke tain
aahan-dili pe KHalq ki KHandan hun misl-e-shama