Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarwar Alam Raz's Photo'

Sarwar Alam Raz

1935 | Texas, USA

Sarwar Alam Raz

Ghazal 11

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 9

aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū

ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā

aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu

ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla

be-kaif javānī hai be-dard zamāna hai

nākām-e-mohabbat itnā fasāna hai

be-kaif jawani hai be-dard zamana hai

nakaam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai

shauq hai tujh ko zamāne meñ tirā naam rahe

aur mujhe Dar hai mohabbat mirī bad-nām na ho

shauq hai tujh ko zamane mein tera nam rahe

aur mujhe Dar hai mohabbat meri bad-nam na ho

āġhāz-e-mohabbat se anjām-e-mohabbat tak

''ik aag dariyā hai aur Duub ke jaanā hai''

aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak

ik aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai

dekh ye jazb-e-mohabbat karishma to nahīñ

kal jo tere dil meñ thā vo aaj mere dil meñ hai

dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin

kal jo tere dil mein tha wo aaj mere dil mein hai

BOOKS 6

 

RELATED publishers

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now