Sher of Tufail Chaturvedi
nafratoñ kā aks bhī paḌne na denā zehan par
ye añdherā jaane kitnoñ kā ujālā khā gayā
nafraton ka aks bhi paDne na dena zehan par
ye andhera jaane kitnon ka ujala kha gaya
ham buzurgoñ kī rivāyat se juḌe haiñ bhaa.ī
nekiyāñ kar ke kabhī phal nahīñ māñgā karte
hum buzurgon ki riwayat se juDe hain bhai
nekiyan kar ke kabhi phal nahin manga karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
safar anjām tak pahuñche to kaise
maiñ apne rāste meñ ḳhud khaḌā huuñ
safar anjam tak pahunche to kaise
main apne raste mein KHud khaDa hun
har taraf phailā huā be-samt be-manzil safar
bhiiḌ meñ rahnā magar ḳhud ko akelā dekhnā
har taraf phaila hua be-samt be-manzil safar
bhiD mein rahna magar KHud ko akela dekhna
sabhī zaḳhmoñ ke Tāñke khul ga.e haiñ
hameñ hañsnā bahut mahñgā paḌā hai
sabhi zaKHmon ke Tanke khul gae hain
hamein hansna bahut mahnga paDa hai
kabhī zamāna thā us kī talab meñ rahte the
aur ab ye haal hai ḳhud ko usī se māñgte haiñ
kabhi zamana tha us ki talab mein rahte the
aur ab ye haal hai KHud ko usi se mangte hain
vo mausamoñ par uchhāltā hai savāl kitne
kabhī to yuuñ ho ki āsmāñ se javāb barse
wo mausamon par uchhaalta hai sawal kitne
kabhi to yun ho ki aasman se jawab barse
us ke va.ade ke evaz de Daalī apnī zindagī
ek sastī shai kā ūñche bhaav saudā kar liyā
us ke wade ke ewaz de Dali apni zindagi
ek sasti shai ka unche bhaw sauda kar liya
ek saa.e kī talab meñ zindagī pahuñchī yahāñ
duur tak phailā huā hai mujh meñ manzar dhuup kā
ek sae ki talab mein zindagi pahunchi yahan
dur tak phaila hua hai mujh mein manzar dhup ka
ye biphartī mauj andeshe samundar aur maiñ
Dūbtī sāñseñ hathelī par mirā sar aur maiñ
ye bipharti mauj andeshe samundar aur main
Dubti sansen hatheli par mera sar aur main