Vijay Sharma
Ghazal 20
Nazm 1
Sher-o-Shayari 9
na.ī nahīñ hai ye tanhā.ī mere hujre kī
maraz ho koī bhī hai chārāgar se Dar jaanā
nai nahin hai ye tanhai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaragar se Dar jaana
-
Share this
- See Ghazal
ye bahs chhoḌ ke kitnī hasīn hai duniyā
tū ye batā ki terā dil kahīñ lagā ki nahīñ
ye bahs chhoD ke kitni hasin hai duniya
tu ye bata ki tera dil kahin laga ki nahin
-
Share this
- See Ghazal
ai zindagī kabhī inkār kā sabab bhī sun
maiñ thak gayā huuñ terī haañ meñ haañ milāte hue
ai zindagi kabhi inkar ka sabab bhi sun
main thak gaya hun teri han mein han milate hue
-
Share this
- See Ghazal
'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ kā
sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī sī Daalī thī
'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka
sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi
-
Share this
- See Ghazal
ik mohabbat bhare cinema meñ
mere marne kā scene mere ḳhvāb
ek mohabbat bhare cinema mein
mere marne ka scene mere KHwab
-
Share this
- See Ghazal