SEARCH RESULTS
Showing search results for "सितम"
Sher MATCHES FOR "सितम"
Sher
kitnii dilkash ho tum kitnaa dil-juu huu.n mai.n
kyaa sitam hai ki ham log mar jaa.e.nge
Jaun Eliya
Sher
ba.De azaab me.n huu.n mujh ko jaan bhii hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhii rahaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
hamaare aage tiraa jab kisuu ne naam liyaa
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
falak pe chaa.nd sitaare nikalte hai.n har shab
sitam yahii hai nikaltaa nahii.n hamaaraa chaa.nd
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
duniyaa ke sitam yaad na apnii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahii.n kuchh bhii mohabbat ke sivaa yaad
Jigar Moradabadi
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
ham un ke sitam ko bhii karam jaan rahe hai.n
aur vo hai.n ki is par bhii buraa maan rahe hai.n
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
Gazal kaa sher to hotaa hai bas kisii ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
parda-e-lutf me.n ye zulm-o-sitam kyaa kahiye
haa.e zaalim tiraa andaaz-e-karam kyaa kahiye
Firaq Gorakhpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
kyaa sitam hai ki vo zaalim bhii hai mahbuub bhii hai
yaad karte na bane aur bhulaa.e na bane
Kaleem Aajiz
Sher
aap hii apne zaraa jaur-o-sitam ko dekhe.n
ham agar arz kare.nge to shikaayat hogii