SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHanda-e-zaKHm-e-jigar"
Sher MATCHES FOR "KHanda-e-zaKHm-e-jigar"
Sher
muskuraataa huu.n to rotaa hai miraa zaKHm-e-jigar
rone lagtaa huu.n to ho.nTo.n ko chubhan hotii hai
Mahwar Sirsivi
Sher
Mohammad Asadullah
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
har bazm kyuu.n numaa.ish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne dosto.n ke darmiyaa.n na khol
Saleem Shahid
Sher
thaa mast baa.ndhne me.n vo tamhiid-e-zaKHm-e-dil
siine ke ik shigaaf pe u.nglii dhare hu.e
Ahmad Sageer
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
daaman ko chaak kiijiye is ehtiyaat se
ahl-e-jahaa.n ko zaKHm-e-jigar kaa gumaa.n na ho
Himayat Ali Shayar
Sher
aaj kis kii jaan se kheloge ai chaaragaro
aaj pahluu me.n mire zaKHm-e-jigar ko.ii nahii.n
Daulat Ram Sabir Panipati
Sher
phaT jaate hai.n zaKHm-e-dil-e-betaab ke a.nguur
saaqii tire haatho.n se jo saaGar nahii.n miltaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
khaave.nge Taa.nke zaKHm-e-sar-o-ruu par ai tabiib
par zaKHm-e-dil to ham se silaayaa na jaa.egaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Mohsin Bhopali
Sher
tum ne ehsaan kiyaa hai ki namak chhi.Dkaa hai
ab mujhe zaKHm-e-jigar aur mazaa dete hai.n
Rasheed Lakhnavi
Sher
ek dil hai aur tuufaan-e-havaadis ai 'jigar'
ek shiisha hai ki har patthar se Takraataa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
jab us ne haar ke KHanjar zamii.n pe phe.nk diyaa
tamaam zaKHm-e-jigar muskuraa.e hai.n kyaa kyaa
Kaifi Azmi
Sher
zaKHm-e-dil daaG-e-jigar daaG-e-tamannaa kii qasam
chaa.nd se phuul se Dar ham ko yahaa.n hotaa hai