SEARCH RESULTS
Showing search results for "araq"
Sher MATCHES FOR "araq"
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
ruKHsaar ke araq kaa tire bhaav dekh kar
paanii ke mol nirKH hu.aa hai gulaab kaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
kis kii jabii.n pe hai.n ye sitaare araq araq
kis ke lahuu se chaa.nd kaa daaman hai daaG daaG
Anjum Rumani
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
is jabiin-e-araq-afshaa.n pe na chuniye afshaa.n
ye sitaare kahii.n mil jaa.e.n na sayyaaro.n me.n
Bekhud Dehlvi
Sher
likkhaa thaa mire bhaag me.n ye shaKHs nigo.Daa
jis ne ki araq merii javaanii kaa nicho.Daa
Imam Deen Gujrati
Sher
ham un se aur vo ham se dam-e-sulh the KHajil
chhii.nTe la.Daa kiye araq-e-infi.aal ke
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
haath rakh kar jo vo puuchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhii aaraam to kah duu.n mujhe aaraam nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
sarishk-e-chashm dikhaate hai.n garmiyaa.n apnii
kamii pe jab araq-e-infi.aal hotaa hai
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
baazuu pe rakh ke sar jo vo kal raat so gayaa
aaraam ye milaa ki miraa haat so gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
zindagii us ne badal kar mirii rakh dii aisii
na mujhe chain na aaraam hai kyaa arz karuu.n
Barqi Azmi
Sher
thaknaa bhii laazmii thaa kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayaa huu.n aaraam karte karte