SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-e-sitam-zada"
Sher MATCHES FOR "dil-e-sitam-zada"
Sher
hamaare aage tiraa jab kisuu ne naam liyaa
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
aamaada-e-karam hai ye kis kii nigaah-e-naaz
dil shikva-e-sitam se pashemaa.n hai aaj kyo.n
Ada Jafarey
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
hijr me.n muskuraa.e jaa dil me.n use talaash kar
naaz-e-sitam uThaa.e jaa raaz-e-sitam na faash kar
Fani Badayuni
Sher
ai shahr-e-sitam-zaad tirii umr ba.Dii ho
kuchh aur bataa naql-e-makaanii ke alaava
Khursheed Akbar
Sher
kisii ke jaur-o-sitam kaa to ik bahaanaa thaa
hamaare dil ko bahar-haal TuuT jaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
choT jab dil par lage fariyaad paidaa kyuu.n na ho
ai sitam-aaraa jo aisaa ho to aisaa kyuu.n na ho
Hasan Barelvi
Sher
roz-e-jazaa gila to kyaa shukr-e-sitam hii ban pa.Daa
haa.e ki dil ke dard ne dard ko dil banaa diyaa
Fani Badayuni
Sher
sach kahaa hai ki ba-ummiid hai duniyaa qaa.im
dil-e-hasrat-zada bhii teraa tamannaa.ii hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
buto.n me.n ko.ii bhalaa.ii bhii hai sivaa.e sitam
buraa ho teraa dil-e-naa-sazaa kidhar aayaa
Shola Aligarhi
Sher
rahe zaraa dil-e-KHuu.n-gashta par nazar 'anjum'
usii sadaf se ajab kyaa guhar nikal aa.e
Anjum Rumani
Sher
'fitrat' dil-e-kaunain kii dha.Dkan to zaraa sun
ye hazrat-e-insaa.n hii kii azmat kaa bayaa.n hai
Abdul Aziz Fitrat
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
kyaa karuu.n ai dil-e-maayuus zaraa ye to bataa
kyaa kiyaa karte hai.n sadmo.n se hiraasaa.n ho kar
Natiq Gulavthi
Sher
sitam hai sitam ka.aba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Abdul Mateen Niyaz
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
tirii jafaa ko jafaa mai.n to kah nahii.n saktaa
sitam sitam hii nahii.n hai jo dil ko raas aa.e