SEARCH RESULTS
Showing search results for "duruud"
Sher MATCHES FOR "duruud"
Sher
buu-e-gul naala-e-dil duud-e-charaaG-e-mahfil
jo tirii bazm se niklaa so pareshaa.n niklaa
Mirza Ghalib
Sher
zaahid sunaa.uu.n vasf jo apnii sharaab ke
pa.Dhne lage.n daruud farishte savaab ke
Imdad Ali Bahr
Sher
daruud pa.Dhte hu.e us kii diid ko nikle.n
to sub.h phuul bichhaa.e sabaa hamaare liye
Obaidullah Aleem
Sher
kahte hu.e saaqii se hayaa aatii hai varna
hai yuu.n ki mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai
Mirza Ghalib
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
ishq ke dard kaa KHud ishq ko ehsaas nahii.n
khi.nch gayaa baade se bhii durd-e-tah-e-jaam bahut
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
shola-e-husn se thaa duud-e-dil apnaa avval
aag duniyaa me.n na aa.ii thii ki sozaa.n ham the
Taashshuq Lakhnavi
Sher
duud-e-aah-e-jigarii kaam na aayaa yaaro
varna ruu-e-shab-e-hijr aur bhii kaalaa kartaa
Shah Naseer
Sher
kuchh ham ko imtiyaaz nahii.n saaf o durd kaa
ai saaqiyaan-e-bazm bayaariid harche hast
Nazeer Akbarabadi
Sher
vo tiira-baKHt huu.n ki 'hasan' merii bazm me.n
daaG-e-siyah charaaG hai aur duud aah-e-sham.a
Meer Hasan
Sher
gar rahuu.n shahr me.n ho duud ke baa.is KHafaqaa.n
jaa.uu.n sahraa ko to dam gard-e-bayaabaa.n roke