SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaur"
Sher MATCHES FOR "gaur"
Sher
aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa achchhii KHamoshii kii adaa achchhii nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
ko.ii bhuulaa hu.aa chehra nazar aa.e shaayad
aa.iina Gaur se tuu ne kabhii dekhaa hii nahii.n
Shakeb Jalali
Sher
ek muddat se KHayaalo.n me.n basaa hai jo shaKHs
Gaur karte hai.n to us kaa ko.ii chehra bhii nahii.n
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
mai.n ne to yuu.nhii raakh me.n pherii thii.n u.ngliyaa.n
dekhaa jo Gaur se tirii tasviir ban ga.ii
Saleem Betab
Sher
Gaur se dekhte rahne kii sazaa paa.ii hai
terii tasviir in aa.nkho.n me.n utar aa.ii hai
Abhinandan Pandey
Sher
dekhii hai.n ba.De Gaur se mai.n ne vo nigaahe.n
aa.nkho.n me.n muravvat kaa kahii.n naam nahii.n hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Vikram Gaur Vairagi
Sher
tuu mujhe bante biga.Dte hu.e ab Gaur se dekh
vaqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
Khursheed Rizvi
Sher
kyaa Gaur se ai jaan-e-jahaa.n dekh rahe ho
tum saa ko.ii aa.iine ke andar to nahii.n hai
Qavi Amrohvi
Sher
kis ko kahiye nek aur Thahraa.iye kis ko buraa
Gaur se dekhaa to sab apne hii bhaa.ii-band hai.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
jo aa rahii hai sadaa Gaur se suno us ko
ki is sadaa me.n KHudaa boltaa saa lagtaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
mai.n ne jab KHud kii taraf Gaur se dekhaa to khulaa
mujh ko ik mere sivaa ko.ii pareshaanii nahii.n
Abhishek Shukla
Sher
saaqii ye KHamoshii bhii to kuchh Gaur-talab hai
saaqii tire mai-KHvaar ba.Dii der se chup hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne kyuu.n tark-e-ta.alluq kii jasaarat kii hai
tum agar Gaur karoge to pashiimaa.n hoge
Ameer Qazalbash
Sher
Vikram Gaur Vairagi
Sher
aa.o ki aaj Gaur kare.n is savaal par
dekhe the ham ne jo vo hasii.n KHvaab kyaa hu.e