SEARCH RESULTS
Showing search results for "kalma-e-inkaar"
Sher MATCHES FOR "kalma-e-inkaar"
Sher
haal biimaar kaa puuchho to shifaa miltii hai
ya.anii ik kalma-e-pursish bhii davaa hotaa hai
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
chashm-e-inkaar me.n iqraar bhii ho saktaa thaa
chhe.Dne ko mujhe phir merii anaa puuchhtii hai
Asad Badayuni
Sher
tai ho chukii hai us se judaa.ii magar 'muniir'
tuu us ke saath lamha-e-inkaar tak to chal
Badr Muneer
Sher
harf-e-inkaar hai kyuu.n naar-e-jahannam kaa haliif
sirf iqraar pe kyuu.n baab-e-iram khultaa hai
Waheed Akhtar
Sher
tah-e-aariz jo farozaa.n hai.n hazaaro.n sham.e.n
lutf-e-iqraar hai yaa shoKHii-e-inkaar kaa rang
Ali Sardar Jafri
Sher
sharm kab tak ai parii laa haath kar iqraar-e-vasl
apne dil ko saKHt kar ke rishta-e-inkaar to.D
Muneer Shikohabadi
Sher
laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijaazat
maare ga.e phir vaadii-e-inkaar me.n ham log
Aziz Nabeel
Sher
masjid kaa ye maa.ik jo uThaa laa.e ho ai 'anvar'
kyaa jaaniye kis vaqt azaa.n dene lagegaa
Anwar Masood
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
aastiino.n kii chamak ne hame.n maaraa 'anvar'
ham to KHanjar ko bhii samjhe yad-e-baizaa hogaa
Anwar Masood
Sher
vahaa.n zer-e-bahs aate KHat-o-KHaal o KHuu-e-KHuubaa.n
Gam-e-ishq par jo 'anvar' ko.ii seminar hotaa
Anwar Masood
Sher
thak ke baiThe ho dar-e-sauma.a par kyaa 'anvar'
do-qadam aur ki ye KHaana-e-KHummar rahaa
Anwar Dehlvi
Sher
'anvar' ne badle jaan ke lii jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudaa giraa.n na thaa