aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "kalma-e-inkaar"
yahii laa.eq-e-kalma-e-aafrii.n haiye iimaan-e-kaamil mukammal yaqii.n haiagarche azal se yahii dil-nashii.n hai
jabki KHaamosh hu.ii jaatii thii ummiid kii laujabki paiGaam-e-mehan laataa thaa har lamha-e-naujabki ik do hii masarrat thii.n aur aalaam the saumire ho.nTo.n pe faqat kalma-e-iz.haar thaa jabaur mohabbat ko mirii baat se inkaar thaa jab
uThaa.o haath ki dast-e-du.aa buland kare.nhamaarii umar kaa ik aur din tamaam hu.aaKHudaa kaa shukr bajaa laa.e.n aaj ke din bhiina ko.ii vaaqi.a guzraa na aisaa kaam hu.aazabaa.n se kalma-e-haq-raast kuchh kahaa jaataazamiir jaagtaa aur apnaa imtihaa.n hotaaKHudaa kaa shukr bajaa laa.e.n aaj kaa din bhiiusii tarah se kaTaa mu.nh-a.ndhere uTh baiThepyaalii chaa.e kii pii KHabre.n dekhii.n naashta parsubuut baiThe basiirat kaa apnii dete raheba-KHair o KHuubii palaT aa.e jaise shaam hu.iiaur agle roz kaa mauhuum KHauf dil me.n liyeDare Dare se zaraa baal pa.D na jaa.e kahii.nliye diye yuu.nhii bistar me.n jaa ke leT ga.e
mere aabaa-o-ajdaad ne hurmat-e-aadmii ke liyetaa-abad raushnii ke liyekalma-e-haq kahaamaqtalo.n qaid-KHaano.n saliibo.n me.n bahtaa lahuu un ke hone kaa ailaan kartaa rahaavo lahuu hurmat-e-aadmii kii zamaanat banaataa-abad raushnii kii alaamat banaaaur mai.n paa-barahna sar-e-kuucha-e-ehtiyaajrizq kii maslahat kaa asiir aadmiisochtaa rah gayaajism me.n mere un kaa lahuu hai to phir ye lahuu boltaa kyuu.n nahii.n?
ik aavaaz ubhartii aa rahii haiduudhiyaa sii raushnii ikparda-e-biinaa.ii se ho kar guzartii guzartii jaa rahii haisalb hotii jaa rahii haiquvvat-e-inkaar bhiiiqraar bhiikuchh ho rahaa hai yaa kahuu.n kuchh hainahii.n ma.aluum kyaa hai aur kyuu.n kuchh haiik amboh-e-faraavaa.njauq-andar-jauq sab afraadiqraa kii taraf jaate hu.eaur mai.n udhar Gaar-e-hiraa kiichuhl-saala KHaamushii me.nmahv hotaa jaa rahaa huu.n
ajiib log thesuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe theaurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii thaavo jaante the ki suuraj kii raushnii ke sivaako.ii charaaG mayassar nahii.n hai aisaa jotalaash-e-asl-e-haqiiqat ke ziine cha.Dhte hu.ebe-imtiyaazii me.n is aaftaab jaisaa hoajiib log thesuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii the aur sar-niguu.n nahii.n thekisii sharaar-e-munaafiq ne un ke siino.n me.nzabaa.n-daraazii kii us aag ko havaa dii thiijise qabiila-e-Gaflat ke KHushk logo.n neanaa ke KHabt pe aflaak se nikaale hu.ekisii darinda-e-be-shakl kii tasallii parbaraa.e-nashsha-e-haivaaniyat uThaa liyaa thaamagar ye kyaaki phir aaj is hamaarii bastii me.najiib log hai.nsuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe hai.naurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii haiajiib log hai.nsuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii hai.naur sar-niguu.n nahii.n hai.n
us kaa iqraar kar keuse Dhuu.nDne chal pa.Daashahr me.n dasht me.nkoh o dariyaa me.n, mai.nmuddato.n maaraa maaraa phiraalekin us kaa nishaa.nmerii nazro.n seojhal thaa ojhal rahaaaaKHirash thak ke jab so gayaamai.n kisii mo.D parto mire parda-e-KHvaab parek tahriir mujh semuKHaatib hu.ii is tarahteraa iqraar bilkul bajaa haimagar yaad rakhek inkaar bhiijuzv-e-laazim haimazkuura iqraar kaais liye Gair-mumkin hai takmiiltere is iqraar kiijab talakis kii buniyaad qaa.em na hojuzv-e-inkaar parnaa-mukammal hai iqraar jab tak tiraaGair-mumkin ki paa.e tuu us kaa pataa!
hujuum se ek ik gunahgaar ko bulaataa aur us ke maathe pe kalma-e-sub.h likh rahaa thaatamaam murde KHizaa.n-zada u.ngliyo.n ke chhuune se jaagte thegunaahgaar-e-nafs thaa mai.n bhiiummiid-vaar-e-shifaa thaa mai.n bhiiphir us zamistaa.n kii niim-shab me.n hazaar lamhaat shaaq guzreaur ek lamhe ne mere zaKHm-e-jigar ko chhuu kar kahaamadavaa-e-Gam kii saa.at qariib haisajda-rez ho jaaye us zamaane kii baat hai jab zamiin ke be-shumaar murde lahuu kaa baptisma le rahe thelahuu kaa baptisma le rahe hai.nrasuul-e-KHurshiid kii sadaa bhii to mar ga.ii thii kohar me.n vo kho gayaa aurusii zamistaa.n kii niim-shab me.n KHabar milii haiusii shabistaan-e-nuur-o-nik.hat me.n be-kafan laash par vo baiThaa hu.aa haiapne KHizaa.n-zada haath se kisii ke lahuu kii taqtiir kar rahaa haiaur apne kaase ko bhar rahaa haiKHabar milii hai,lahuu vo KHurshiid kaa lahuu hai
a.ndhero.n ke pujaarii ko ujaalo.n se ho kyo.n raGbatsub.h kii narm kirno.n se ho in ko kis liye chaahatinhe.n to diip jugnuu aur sitaaro.n se bhii nafrat haiinhe.n to raushnii detii kitaabo.n se adaavat haigavaara hai inhe.n bas chaa.nd bhii to avvalii.n shab kaavagarna taaq aur ghanghor raato.n me.ntalaash-e-rab rahe jaariimagar ye kyaa zabaa.n par kalma-e-haq aur aa.nkho.n me.najab vahshat ajab dahshat lahuu taarii lahuu taariimusaavaat-e-tashaKHKHus kyaa uKHuvvat bhaa.ii-chaara kyaalahuu ko chaaTte KHanjar se un ko aur pyaaraa kyaamohabbat un ke aage bas gunah hai jo kabiira haishahar pe raaj kartii vahshate.n un kaa vatiira haimagar vo bhuul baiThe hai.n usuul-e-zindagii hai kifazaa me.n lahlahaatii aag ko taaza havaa.e.n sard kartii hai.nho kaalii raat jitnii bhii sub.h-e-saadiq kaa suurajsiyaahii kii riyaasat par nazar jab gaa.D detaa haito phirsaveraa jagmagaataa hai KHudaa bhii muskuraataa haia.ndhero.n ke pujaarii jaan le.n itnaahavaa na qaid hotii hai na suuraj dafn hotaa hai
kis tarah aa.egii jis roz qazaa aa.egiishaayad is tarah ki jis taur tah-e-nok-e-sinaa.nko.ii rag vaahima-e-dard se chillaane lageaur qazzaaq-e-sinaa.n-dast kaa dhundlaa saayaaz-karaa.n-taa-ba-karaa.n dahr pe ma.nDlaane lagekis tarah aa.egii jis roz qazaa aa.egiiKHvaah qaatil kii tarah aa.e ki mahbuub-sifatdil se bas hogii yahii harf-e-vidaa.a kii suuratlillaahil-hamd ba-anjaam-e-dil-e-dil-zadagaa.nkalma-e-shukr ba-naam-e-lab-e-shiirii.n-dahanaa.n
so ab ye shart-e-hayaat Thahriiki shahar ke sab najiib afraadapne apne lahuu kii hurmat se munharif ho ke jiinaa siikhe.nvo sab aqiide ki in gharaano.n me.nun kii aa.nkho.n ke ra.ngto.n kii tarah tasalsul se chal rahe thesunaa hai baatil qaraar paa.evo sab vafaadaariyaa.n ki jin par lahuu ke va.ade halaf hu.e thevo aaj se maslahat kii gha.Diyaa.n shumaar ho.ngiibadan kii vaabastagii kaa kyaa zikrruuh ke ahd-naame tak fasKH maane jaa.e.nKHamoshii-o-maslahat-pasandii me.n KHairiyat haimagar mire shahr-e-munharif me.nabhii kuchh aise Gayyuur-o-saadiq ba-qaid-e-jaa.n hai.nki harf-e-inkaar jin kii qismat nahii.n banaa haiso haakim-e-shahr jab bhii apne Gulaam-zaadeunhe.n giraftaar karne bhejeto saath me.n ek ek kaa shajra-e-nasb bhii ravaana karnaaaur un ke hamraah sard patthar me.n chun.ne denaaki aaj se jabhazaar-haa saal baa'd ham bhiikisii zamaane ke Tekslaayaa ha.Dappa ban kar talaashe jaa.e.nto us zamaane ke logham kokahii.n bahut kam-nasab na jaane.n
aadam-e-KHaakii kii paidaa.ish se pahlejin kaa kahnaa thaa zamii.n parKHuun bahaa.egaa ye naahaqaur machaa.egaa fasaadab vahii peshengo umiid-vaaris ke gun gaate hu.e thakte nahii.nimtihaan-gaah-e-muqaddar ho to aisiijis me.n pur-taab-o-tavaa.n hamkaar-pardaazaan-e-fitrat laa-javaabaur aadam us kii tiinat me.n to goyaahal-shuda pahle se the saare savaaljin mazaahir kii taraf dekhaa nazar bhar karma.aanii ke damak aThe unhii.n me.n muzmiraathikmat-e-ashyaa ke saa.nche me.n Dhaliibe-saaKHta ism-aafriinii marhabaaKHaak-e-be-miqdaar ke zarraat me.njauhar-e-nutq-o-bayaa.n aisaa bhii maKHfii haikise ma.aluum thaaimtihaa.n KHatmaur masjuud-e-malaa.ik ban ga.ii insaa.n kii zaatmai.n ne lekin sheva-e-inkaar apnaayaaki mai.n aatish-e-nihaadmartabe me.n KHaak-e-uftaada se bartarasl me.n vaalaa guharchaahe aflaak-o-zamiin parphail kar chhaa jaa.e ye musht-e-Gubaarharba tasKHiir lekin kaargar mujh par bhii ho is kaayahii ik marhala hai ma.arke kaaimtihaa.n ye saKHt-tar haikaamyaabii is me.n bhii paa.e yahiiumiid-vaar KHush-gumaa.naasaa.n nahii.nmerii apnii ik luGat haijis me.n asmaa ke ma.aanii baar-baarik na.ii ta.abiir ke aa.iina-daarmansab-e-aazaadgii aadam kaaik parvaana-e-Gaarat-gariiis me.n likhaa haiaur aagaahiitabaahii ke vasaa.el tak rasaa.ii kaa javaazis me.n chhapaa haial-Garaz is khel kaa mohara vahiiilm-e-asmaa hai magarik pur-fusuu.n taqliib-kaarii kaa shikaarik pur-fusuu.n taqliib-kaarii kaa shikaar
mohabbat KHaaliq-e-har-do-jahaa.n haimohabbat diin-e-fitrat kii zabaa.n haimohabbat jazba-e-sidq-o-yaqii.n haimohabbat hii mohabbat kii amii.n haimohabbat taalib-e-husn-o-javaaniimohabbat phuul kaa.nTo.n kii kahaaniimohabbat shaahid-e-vahdaaniyat haimohabbat jazba-e-insaaniyat haimohabbat harf-e-shiirii.n kii amaanatmohabbat jazba-e-dil kii sadaaqatmohabbat jism bhii hai jaan bhii haimohabbat fitrat-e-insaan bhii haikahaa jis ko farishto.n ne 'ibaadatmohabbat hai mohabbat hai mohabbatmohabbat dushman-e-rahbaaniyat haimohabbat kalma-e-insaaniyat haimohabbat rahnumaa-e-aadmii haimohabbat soz-o-saaz-e-zindagii haimohabbat 'ishq kaa tuufaan bhii haimohabbat husn kaa iimaan bhii haimohabbat falsafa hai dostii kaamohabbat me.n sabaq hai zindagii kaamohabbat faateh-o-maftuuh bhii haimohabbat haamid-o-mamduuh bhii haimohabbat hai yaqiin-e-kaamraaniimohabbat daar kii bhii hai kahaaniimohabbat diin-o-duniyaa kii talab haimohabbat fikr hai 'ilm-o-adab haimohabbat tarz bhii andaaz bhii haimohabbat saaz bhii aavaaz bhii haimohabbat jaa.n-nisaaro.n kii KHushii haimohabbat husn kii zinda-dilii haimohabbat kaa nahii.n hai ek pahluumohabbat par na paayaa dil ne qaabuumohabbat naGma-e-roz-e-azal haimohabbat qaazii-e-shahr-e-'amal haimohabbat dard hai diivaangii haimohabbat farz hai mardaangii haimohabbat imtihaan-e-zindagii haimohabbat devtaa kii muurtii haimohabbat rahmato.n kii daastaa.n haimohabbat mard-e-momin kii azaa.n haimohabbat raunaq-e-duniyaa-o-dii.n haimohabbat chaa.nd suuraj kii zamii.n haimohabbat gul bhii hai aur gulsitaa.n bhiimohabbat KHaarzaaro.n kii zabaa.n bhiimohabbat daa'vat-e-ranj-o-alam bhiimohabbat hai naved-e-fikr-o-Gam bhiimohabbat valvalo.n kii intihaa bhiibu.Dhaape me.n javaanii kii sadaa bhiimohabbat hii KHushii kaa raasta haimohabbat hii me.n duniyaa kaa bhalaa haimohabbat qissa-e-jaam-o-subuu haimohabbat zindagii kii justujuu haimohabbat aadam-o-havvaa ne kii haimohabbat ruuh kii paakiizgii haimohabbat chain hai sabr-o-sukuu.n haimohabbat raahat-e-ahl-e-junuu.n haimohabbat se hai raunaq mahfilo.n kiimohabbat kab KHataa hai thu.D-dilo.n kiimohabbat har saliiqe kaa nishaa.n haimohabbat har nafas kii daastaa.n haimohabbat maa'nii-e-husn-e-suKHan haimohabbat allah vaalo.n kaa chalan haimohabbat saahab-e-'ilm-ul-yaqii.n bhiimohabbat ruuh bhii ruuh-ul-amii.n bhiimohabbat 'ishq hai zarb-e-KHudii haimohabbat zulfiqaar-e-haidarii haimohabbat bhed khole aarzuu kemohabbat zindagii ke Gam sameTemohabbat nafsiyaatii uljhano.n sevaraq ulTe sadaaqat ke junuu.n kemohabbat hai 'ilaaj-e-zabt-e-insaa.nmohabbat imtihaan-e-zabt-e-insaa.nmohabbat kii alag sab se hai boliimohabbat kii girah fitrat ne kholiimohabbat saahib-e-fikr-o-nazar haimohabbat me.n raqaabat kaa bhii Dar haimohabbat do-jahaa.n me.n surKH-ruu bhiimohabbat gul mohabbat rang-o-buu bhiimohabbat maahtaabo.n se banii haimohabbat inqilaabo.n se banii haimohabbat kaa nasha hai sab se behtarmohabbat paara-e-tasniim-o-kausarmohabbat sho'la hai sho’la-numaa haimohabbat hii haqiiqat me.n KHudaa hai
ham aazaadii ke diivaane ye duniyaa farzaano.n kiiis paapii sansaar me.n baabaa kaun sune diivaano.n kiimasjid mandir sab ke andar raaj Gulaamii kartii haidaulat le kar naam KHudaa kaa ghar ghar dharnaa dhartii haikoThii ba.ngle gore saa.npo.n kii ik aisii bastii haijo bhaarat ke bhole-bhaale insaano.n ko Dastii haiun se bach kar chalnaa baabaa ye qaatil zahriile hai.nsuurat ke mohan hai.n bhiitar se sab niile piile hai.nshaidaa huu.n aazaadii kaa aazaad-nagar me.n Deraa haikyaa batlaa.uu.n mere bhayyaa kaun jahaa.n me.n meraa haivo meraa jo aazaadii kii zulfo.n kaa diivaana haivo meraa jo sham-e-vatan kaa shaidaa.ii parvaana haivo meraa jo maut ke aage be-jigarii se tantaa haivo meraa jo aap na ho kuchh jis kii sab kuchh jantaa haivo meraa jo ha.nste ha.nste phaa.nsii par cha.Dh jaataa haivo meraa jo maut se bhii do chaar qadam ba.Dh jaataa haiaazaadii ke taalib sun le maut hii merii manzil haituu duniyaa kaa ban saktaa hai meraa ban.naa mushkil hai
mire ik dost ne mujh sekahaa ai 'shaahid'-e-anvartiraa chehra hazaaro.n me.n alag pahchaan rakhtaa haitirii aa.nkhe.n hayaa kii vo nishaanii hai.njinhe.n mai.n roz taktaa huu.ntirii guftaar se ma.asuum kaliyaa.n muskuraatii hai.ntire alfaaz me.n paiGaam hai zinda-dilii kaatire ash.aar mujh ko hausla din-raat dete hai.nye sab sunte hu.e hairat semai.n apne aap me.n KHaamosh baiThaa thaamiraa chehra mirii aa.nkhe.nmirii guftaar ke charchemire alfaaz aur ash.aarko.ii bhii is qadar taariif ke laa.eq kabhii na thaamagar ai dostmohabbat ne tirii nazro.n ko vo taasiir baKHshii haiki mujh se aam insaa.n netire dil me.n jagah paa lii
jis ne janm kii ghuTTii chakkhiius ko ziine tai karnaa hai.nandar baaharniiche uuparaage piichheziine har har orjitnaa jaanocha.Dh aa.eutnaa samjhoutar chuke ho
raushnii kii ek halkii sii kiranzulm ke gahre a.ndhero.n se uThiiduur jaa kar jagmagaatii barf kekoh-e-pur-anvaar me.n gum ho ga.ii
aaj pat-jha.D se jiivan me.n pahle-pahalmere be-rang banjar badan kii zamii.nkulbulaane lagiizalzala jism me.n aisaa barpaa hu.aasab dafiine KHaziine badan se ubalne lageaablo.n aur chhaalo.n ke ankur nikalne lagelaal piile hare bai.nganii kattha.iizaKHm ke phuul khilne lagemere be-rang banjar badan kii zamii.n lahlahaane lagiimerii hairat ba.Dhaane lagiimerii miTTii bhii upjaa.uu hai is qadarmai.n ne sochaa na thaaik mahiine me.nzaKHmo.n kii chhe saat fasle.n kaTii.nzindagii-bhar kii mahruumiyo.n kaa gila miT gayaajism kii lahlahaatii zamii.n dekh kar meraa jii KHush hu.aazaKHm pahlaa jo thaa daaG haiduusraa suukhne ke maraahil me.n haitiisraa phuul kii tarah khiltaa hu.aaaur chauthaa kalii kii tarah hai chaTaktaa hu.aapaa.nchvaa.n huu-bahuu hai kaliiaur chhaTaa kechu.e kii tarahgiilii miTTii me.n aahista se re.ngtaa hai abhiisaatvaa.n kulbulaataa hai zer-e-zamii.naaTHvaa.n ha.ns rahaa hai falak par kahii.npaa.nv jaise mire mor ke ho ga.ehaath phuulo.n kaa dasta hu.aajism par daaG ke chaa.nd taare chamakne lageai KHudaa is navaazish pe teraa bahut shukr hailekin abis badan kii zamii.naane vaalii na.ii fasl ke vaaste tang pa.Dne lagiimere maalik tuu abaablo.n kii na.ii fasl ko rok deyaa mujhe duusraa jism de
KHaakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaa.n honaahairat kaa jahaa.n honaa hasrat kaa nishaa.n honaaai shaKHs jo tuu aakar yuu.n dil me.n samaayaa haituu dard ki darmaa.n hai to dhuup ki saayaa hai?nainaa.n tire jaaduu hai.n gesuu tire KHushbuu hai.nbaate.n kisii jangal me.n bhaTkaa hu.aa aahuu hai.nmaqsuud-e-vafaa sun le kyaa saaf hai saada haijiine kii tamannaa hai marne kaa iraada hai
ai matavaalo naaqo.n vaalo dete ho kuchh us kaa pataanajd ke andar majnuu.n naamii ek hamaaraa bhaa.ii thaaaaKHir us par kyaa kuchh biitii jaano to ahvaal kahomaut milii yaa lailaa paa.ii? diivaane kaa ma.aal kahoaql kii baate.n kahne vaale dosto.n ne use samjhaayaaus ko to lekin chup sii lagii thii naa bolaa naa baaz aayaaKHair ab us kii baat ko chho.Do diivaanaa phir diivaanaajaate jaate ham logo.n kaa ek sandesaa le jaanaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books