SEARCH RESULTS
Showing search results for "maqtal"
Sher MATCHES FOR "maqtal"
Sher
ye kis ne ham se lahuu kaa KHiraaj phir maa.ngaa
abhii to so.e the maqtal ko surKH-ruu kar ke
Mohsin Naqvi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ye bastiyaa.n hai.n ki maqtal du.aa kiye jaa.e.n
du.aa ke din hai.n musalsal du.aa kiye jaa.e.n
Iftikhar Arif
Sher
maqtal-e-shauq ke aadaab niraale hai.n bahut
dil bhii qaatil ko diyaa karte hai.n sar se pahle
Ali Sardar Jafri
Sher
ik karb-e-musalsal kii sazaa de.n to kise de.n
maqtal me.n hai.n jiine kii du.aa de.n to kise de.n
Aanis Moin
Sher
maqtal-e-jaa.n se ki zindaa.n se ki ghar se nikle
ham to KHushbuu kii tarah nikle jidhar se nikle
Ummeed Fazli
Sher
Jaun Eliya
Sher
maqtal-e-vaqt me.n KHaamosh gavaahii kii tarah
dil bhii kaam aayaa hai gumnaam sipaahii kii tarah
Parveen Shakir
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
Parveen Shakir
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye
Azhar Inayati
Sher
ye kaun aag lagaane pe hai yahaa.n maamuur
ye kaun shahr ko maqtal banaane vaalaa hai
Khurshid Rabbani
Sher
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
mire KHudaa mujhe itnaa to mo'tabar kar de
mai.n jis makaan me.n rahtaa huu.n us ko ghar kar de