SEARCH RESULTS
Showing search results for "meyaar"
Sher MATCHES FOR "meyaar"
Sher
kaun jaane ki na.e saal me.n tuu kis ko pa.Dhe
teraa me.yaar badaltaa hai nisaabo.n kii tarah
Parveen Shakir
Sher
jin hauslo.n se meraa junuu.n mutma.in na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho ga.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
gir na jaa.e tire meyaar se andaaz-e-huruuf
yuu.n kabhii naam bhii teraa nahii.n likhkhaa mai.n ne
Hamid Mukhtar Hamid
Sher
ab ke mausam me.n ye meyaar-e-junuu.n Thahraa hai
sar salaamat rahe.n dastaar na rahne paa.e
Mohsin Bhopali
Sher
jhuuT sach me.n ko.ii pahchaan kare bhii kaise
jo haqiiqat kaa hii meyaar fasaana Thahraa
Farooq Shamim
Sher
suntaa rahtaa huu.n to vo kuchh bhii kahe jaataa hai
us ko lagtaa hai ki me'yaar yahii hai apnaa
Waseem Haidar
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
saarii izzat naukrii se is zamaane me.n hai 'mehar'
jab hu.e be-kaar bas tauqiir aadhii rah ga.ii
Hatim Ali Mehr
Sher
mai.n duniyaa ke me.aar pe puuraa nahii.n utraa
duniyaa mire me.aar pe puurii nahii.n utrii
Munawwar Rana
Sher
ham ko us shahr me.n taamiir kaa saudaa hai jahaa.n
log memaar ko chun dete hai.n diivaar ke saath
Ahmad Faraz
Sher
puurii na adhuurii huu.n na kam-tar huu.n na bartar
insaan huu.n insaan ke me.aar me.n dekhe.n
Fatima Hasan
Sher
Abdul Aziz Khalid
Sher
yahii lahja thaa ki me.aar-e-suKHan Thahraa thaa
ab isii lahja-e-be-baak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
fikr-e-me.aar-e-suKHan baa.is-e-aazaar hu.ii
ta.ng rakkhaa to hame.n apnii qabaa ne rakkhaa