SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaGar"
Sher MATCHES FOR "saaGar"
Sher
Saghar Azmi
Sher
kal jinhe.n chhuu nahii.n saktii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
jis ahd me.n luT jaa.e faqiiro.n kii kamaa.ii
us ahd ke sultaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
go haath ko jumbish nahii.n aa.nkho.n me.n to dam hai
rahne do abhii saaGar-o-miinaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
kashmiir kii vaadii me.n be-parda jo nikle ho
kyaa aag lagaa.oge barfiilii chaTaano.n me.n
Saghar Azmi
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
muddat hu.ii hai bichh.De hu.e apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
Saghar Khayyami
Sher
jaan jaane ko hai aur raqs me.n parvaana hai
kitnaa ra.ngiin mohabbat tiraa afsaana hai
Saghar Khayyami
Sher
bhuulii hu.ii sadaa huu.n mujhe yaad kiijiye
tum se kahii.n milaa huu.n mujhe yaad kiijiye
Saghar Siddiqui
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
kaifiyyat-e-chashm us kii mujhe yaad hai 'saudaa'
saaGar ko mire haath se liijo ki chalaa mai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
hai du.aa yaad magar harf-e-du.aa yaad nahii.n
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
jis bazm me.n saaGar ho na sahbaa ho na KHum ho
rindo.n ko tasallii hai ki us bazm me.n tum ho