SEARCH RESULTS
Showing search results for "taish"
Sher MATCHES FOR "taish"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Taish Marharvi
Sher
shab-e-Gam kaa miraa ik saath qissa muKHtasar honaa
udhar dam to.Dnaa meraa idhar paidaa sahar honaa
Taish Marharvi
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
jis se puuchhe.n tire baare me.n yahii kahtaa hai
KHuubsuurat hai vafaadaar nahii.n ho saktaa
Abbas Tabish
Sher
muddat ke baad KHvaab me.n aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa KHush rahaa karo
Abbas Tabish
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
ham hai.n suukhe hu.e taalaab pe baiThe hu.e hans
jo ta'alluq ko nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
tumhaaraa sirf havaa.o.n pe shak gayaa hogaa
charaaG KHud bhii to jal jal ke thak gayaa hogaa
Zubair Ali Tabish
Sher
masruuf hai.n kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaGaaz to kar lete hai.n jaarii nahii.n rakhte
Abbas Tabish
Sher
chaa.nd-chehre mujhe achchhe to bahut lagte hai.n
ishq mai.n us se karuu.ngaa jise urdu aa.e
Abbas Tabish
Sher
mere siine se zaraa kaan lagaa kar dekho
saa.ns chaltii hai ki zanjiir-zanii hotii hai
Abbas Tabish
Sher
Abbas Tabish
Sher
ko.ii titlii nishaane par nahii.n hai
mai.n bas ra.ngo.n kaa piichhaa kar rahaa huu.n