SEARCH RESULTS
Showing search results for "taras"
Sher MATCHES FOR "taras"
Sher
bastii me.n apnii hinduu musalmaa.n jo bas ga.e
insaa.n kii shakl dekhne ko ham taras ga.e
Kaifi Azmi
Sher
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.n jalaane me.n
Bashir Badr
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
sun.ne vaale ro diye sun kar mariiz-e-Gam kaa haal
dekhne vaale taras khaa kar du.aa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
kaisaa insaa.n taras rahaa hai jiine ko
kaise saahil par ik machhlii zinda hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
vo suurat dekh kar apnii ye suurat hii nahii.n rahtii
taras aa.e to kyaa aa.e use merii musiibat par
Jaleel Manikpuri
Sher
ko.ii to aa ke rulaa de ki ha.ns rahaa huu.n mai.n
bahut dino.n se KHushii ko taras rahaa huu.n mai.n
Shaz Tamkanat
Sher
Ahmad Faraz
Sher
bahtii rahii nadii mire ghar ke qariib se
paanii ko dekhne ke liye mai.n taras gayaa
Iftikhar Naseem
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
puuchhaa jo un se chaa.nd nikaltaa hai kis tarah
zulfo.n ko ruKH pe Daal ke jhaTkaa diyaa ki yuu.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe