SEARCH RESULTS
Showing search results for "duur"
Ghazal MATCHES FOR "duur"
Ghazal
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Ghazal
judaa.iyaa.n to muqaddar hai.n phir bhii jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vo ek hii chehra to nahii.n saare jahaa.n me.n
jo duur hai vo dil se utar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Ghazal
Tahzeeb Hafi
Ghazal
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
Saba Akbarabadi
Ghazal
duur rah kar na karo baat qariib aa jaa.o
yaad rah jaa.egii ye raat qariib aa jaa.o
Sahir Ludhianvi
Ghazal
duur tak ko.ii sitaara hai na ko.ii jugnuu
marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Ghazal
achchhaa tumhaare shahr kaa dastuur ho gayaa
jis ko gale lagaa liyaa vo duur ho gayaa
Bashir Badr
Ghazal
ja.D ukha.Dne se jhukaa.o hai mirii shaaKHo.n me.n
duur se log samar-baar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
duur ke chaa.nd ko Dhuu.nDo na kisii aa.nchal me.n
ye ujaalaa nahii.n aa.ngan me.n samaane vaalaa
Nida Fazli
Ghazal
ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah
ham ne chaahaa hai tumhe.n chaahne vaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
tire pahluu me.n kyuu.n hotaa hai mahsuus
ki tujh se duur hotaa jaa rahaa huu.n