SEARCH RESULTS
Showing search results for "manzil"
Ghazal MATCHES FOR "manzil"
Ghazal
jis din se chalaa huu.n mirii manzil pe nazar hai
aa.nkho.n ne kabhii miil kaa patthar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaa kaa gila
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai tirii mahfil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
tanhaa.ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Ghazal
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Bismil Azimabadi
Ghazal
shaam tanhaa.ii kii hai aa.egii manzil kaise
jo mujhe raah dikhaa de vahii taaraa na rahaa
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
jo ham-safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai 'faraaz'
ajab nahii.n hai agar yaad bhii na aa.uu.n use
Ahmad Faraz
Ghazal
ek ik kar ke hu.e jaate hai.n taare raushan
merii manzil kii taraf tere qadam aate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Behzad Lakhnavi
Ghazal
kabhii mil jaa.e to raste kii thakan jaag pa.De
aisii manzil se guzar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
justujuu ne kisii manzil pe Thaharne na diyaa
ham bhaTakte rahe aavaara KHayaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
Shad Azimabadi
Ghazal
tavaaf-e-manzil-e-jaanaa.n hame.n bhii karnaa hai
'faraaz' tum bhii agar tho.Dii duur saath chalo
Ahmad Faraz
Ghazal
Nasir Kazmi
Ghazal
yaad aa.ii hai to phir TuuT ke yaad aa.ii hai
ko.ii guzrii hu.ii manzil ko.ii bhuulii hu.ii dost
Ahmad Faraz
Ghazal
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qariib aa ga.ii hai