Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Obaidullah Aleem's Photo'

Obaidullah Aleem

1939 - 1998 | Karachi, Pakistan

One of the most outstanding modern poets of Pakistan.

One of the most outstanding modern poets of Pakistan.

TOP 20 SHAYARI of Obaidullah Aleem

aziiz itnā rakkho ki sambhal jaa.e

ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e

aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae

ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae

havā ke dosh pe rakkhe hue charāġh haiñ ham

jo bujh ga.e to havā se shikāyateñ kaisī

hawa ke dosh pe rakkhe hue charagh hain hum

jo bujh gae to hawa se shikayaten kaisi

kaash dekho kabhī TuuTe hue ā.īnoñ ko

dil shikasta ho to phir apnā parāyā kyā hai

kash dekho kabhi TuTe hue aainon ko

dil shikasta ho to phir apna paraya kya hai

ab to mil jaao hameñ tum ki tumhārī ḳhātir

itnī duur aa ga.e duniyā se kinārā karte

ab to mil jao hamein tum ki tumhaari KHatir

itni dur aa gae duniya se kinara karte

ek chehre meñ to mumkin nahīñ itne chehre

kis se karte jo koī ishq dobārā karte

ek chehre mein to mumkin nahin itne chehre

kis se karte jo koi ishq dobara karte

javānī kyā huī ik raat kahānī huī

badan purānā huā ruuh bhī purānī huī

jawani kya hui ek raat ki kahani hui

badan purana hua ruh bhi purani hui

hazār tarah ke sadme uThāne vaale log

na jaane kyā huā ik aan meñ bikhar se ga.e

hazar tarah ke sadme uThane wale log

na jaane kya hua ek aan mein bikhar se gae

haa.e vo log ga.e chāñd se milne aur phir

apne TuuTe hue ḳhvāb uThā kar le aa.e

hae wo log gae chand se milne aur phir

apne hi TuTe hue KHwab uTha kar le aae

zamīñ ke log to kyā do diloñ chāhat meñ

ḳhudā bhī ho to use darmiyān laao mat

zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein

KHuda bhi ho to use darmiyan lao mat

raushnī aadhī idhar aadhī udhar

ik diyā rakkhā hai dīvāroñ ke biich

raushni aadhi idhar aadhi udhar

ek diya rakkha hai diwaron ke bich

ye kaisī bichhaḌne sazā hai

ā.īne meñ chehra rakh gayā hai

ye kaisi bichhaDne ki saza hai

aaine mein chehra rakh gaya hai

maiñ ek se kisī mausam meñ rah nahīñ saktā

kabhī visāl kabhī hijr se rihā.ī de

main ek se kisi mausam mein rah nahin sakta

kabhi visal kabhi hijr se rihai de

maiñ us ko bhuul gayā huuñ vo mujh ko bhuul gayā

to phir ye dil pe kyuuñ dastak nā-gahānī huī

main us ko bhul gaya hun wo mujh ko bhul gaya

to phir ye dil pe kyun dastak si na-gahani hui

agar hoñ kachche gharoñdoñ meñ aadmī ābād

to ek abr bhī sailāb ke barābar hai

agar hon kachche gharondon mein aadmi aabaad

to ek abr bhi sailab ke barabar hai

shikasta-hāl be-āsrā lagtā hai

ye shahr dil se ziyāda dukhā lagtā hai

shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai

ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai

tum apne rañg nahāo maiñ apnī mauj uḌuuñ

vo baat bhuul bhī jaao jo ānī-jānī huī

tum apne rang nahao main apni mauj uDun

wo baat bhul bhi jao jo aani-jaani hui

jo aa rahī hai sadā ġhaur se suno us ko

ki is sadā meñ ḳhudā boltā lagtā hai

jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko

ki is sada mein KHuda bolta sa lagta hai

mujh se mirā koī milne vaalā

bichhḌā to nahīñ magar milā de

mujh se mera koi milne wala

bichhDa to nahin magar mila de

dosto jashn manāo ki bahār aa.ī hai

phuul girte haiñ har ik shāḳh se aañsū tarah

dosto jashn manao ki bahaar aai hai

phul girte hain har ek shaKH se aansu ki tarah

khā gayā insāñ ko āshob-e-ma.āsh

aa ga.e haiñ shahr bāzāroñ ke biich

kha gaya insan ko aashob-e-maash

aa gae hain shahr bazaron ke bich

Recitation

Speak Now