Aapki baat,baat phoolon ki: On Rose day
The Valentine's Week has started and 7th February is celebrated as 'Rose Day'. On this day, people express their love by gifting roses to their beloved.
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
-
Tags : Famous shayariand 4 more
gul ho mahtāb ho ā.īna ho ḳhurshīd ho miir
apnā mahbūb vahī hai jo adā rakhtā ho
gul ho mahtab ho aaina ho KHurshid ho mir
apna mahbub wahi hai jo ada rakhta ho
maiñ chāhtā thā ki us ko gulāb pesh karūñ
vo ḳhud gulāb thā us ko gulāb kyā detā
main chahta tha ki us ko gulab pesh karun
wo KHud gulab tha us ko gulab kya deta
-
Tags : Phooland 1 more
mahak rahī hai zamīñ chāñdnī ke phūloñ se
ḳhudā kisī kī mohabbat pe muskurāyā hai
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
-
Tags : Famous shayariand 3 more
kisī kalī kisī gul meñ kisī chaman meñ nahīñ
vo rañg hai hī nahīñ jo tire badan meñ nahīñ
kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin
wo rang hai hi nahin jo tere badan mein nahin
aaj bhī shāyad koī phūloñ kā tohfa bhej de
titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par
-
Tags : Phooland 2 more
sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
suno ki ab ham gulāb deñge gulāb leñge
mohabbatoñ meñ koī ḳhasāra nahīñ chalegā
suno ki ab hum gulab denge gulab lenge
mohabbaton mein koi KHasara nahin chalega
-
Tags : Phooland 1 more
ye aarzū thī tujhe gul ke rū-ba-rū karte
ham aur bulbul-e-betāb guftugū karte
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betab guftugu karte
-
Tag : Aarzoo
na.e daur ke na.e ḳhvāb haiñ na.e mausamoñ ke gulāb haiñ
ye mohabbatoñ ke charāġh haiñ inheñ nafratoñ kī havā na de
nae daur ke nae KHwab hain nae mausamon ke gulab hain
ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de
kisī ke lams kī tāsīr hai ki barsoñ ba.ad
mirī kitāboñ meñ ab bhī gulāb jāgte haiñ
kisi ke lams ki tasir hai ki barson baad
meri kitabon mein ab bhi gulab jagte hain
aap chhū dekheñ kisī ġhunche ko apne haath se
ġhuncha gul ho jā.egā aur gul chaman ho jā.egā
aap chhu dekhen kisi ghunche ko apne hath se
ghuncha gul ho jaega aur gul chaman ho jaega
use kisī se mohabbat na thī magar us ne
gulāb toḌ ke duniyā ko shak meñ Daal diyā
use kisi se mohabbat na thi magar us ne
gulab toD ke duniya ko shak mein Dal diya
dimāġh de jo ḳhudā gulshan-e-mohabbat meñ
har ek gul se tire pairahan kī bū aa.e
dimagh de jo KHuda gulshan-e-mohabbat mein
har ek gul se tere pairahan ki bu aae
din meñ aane lage haiñ ḳhvāb mujhe
us ne bhejā hai ik gulāb mujhe
din mein aane lage hain KHwab mujhe
us ne bheja hai ek gulab mujhe
chaman tum se ibārat hai bahāreñ tum se zinda haiñ
tumhāre sāmne phūloñ se murjhāyā nahīñ jaatā
chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain
tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata
ravish ravish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe haiñ yahāñ se bahār guzrī hai
rawish rawish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe hain yahan se bahaar guzri hai
mujhe to ishq hai phūloñ meñ sirf ḳhushbū se
bulā rahī hai kisī laala kī mahak mujh ko
mujhe to ishq hai phulon mein sirf KHushbu se
bula rahi hai kisi lala ki mahak mujh ko
guzrā hai kaun phuul khilātā ḳhirām se
'shādāb' aaj rāhguzar pā rahā huuñ maiñ
guzra hai kaun phul khilata KHiram se
'shadab' aaj rahguzar pa raha hun main
lachak hai shāḳhoñ meñ jumbish havā se phūloñ meñ
bahār jhuul rahī hai ḳhushī ke phūloñ meñ
lachak hai shaKHon mein jumbish hawa se phulon mein
bahaar jhul rahi hai KHushi ke phulon mein