join rekhta family!
Ghazal 43
Sher 117
kashtiyāñ sab kī kināre pe pahuñch jaatī haiñ
nāḳhudā jin kā nahīñ un kā ḳhudā hotā hai
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hain
naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
tum ko aatā hai pyaar par ġhussa
mujh ko ġhusse pe pyaar aatā hai
tum ko aata hai pyar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyar aata hai
vasl kā din aur itnā muḳhtasar
din gine jaate the is din ke liye
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 59
Image shayari 20
us kii hasrat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.n Dhuu.nDne us ko chalaa huu.n jise paa bhii na sakuu.n Daal ke KHaak mere KHuun pe qaatil ne kahaa kuchh ye meh.ndii nahii.n merii ki chhupaa bhii na sakuu.n zabt kam-baKHt ne yaa.n aa ke galaa gho.nTaa hai ki use haal sunaa.uu.n to sunaa bhii na sakuu.n naqsh-e-paa dekh to luu.n laakh karuu.ngaa sajde sar miraa arsh nahii.n hai jo jhukaa bhii na sakuu.n bevafaa likhte hai.n vo apne qalam se mujh ko ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.n is tarah so.e hai.n sar rakh ke mire zaanuu par apnii so.ii hu.ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.n