Nafrat Par Shayari
ham se nafrat karo ki pyaar karo
koī rishta to ustuvār karo
hum se nafrat karo ki pyar karo
koi rishta to ustuwar karo
be piye hī sharāb se nafrat
ye jahālat nahīñ to phir kyā hai
without drinking, to abhor wine so
what is this if not igorant stupidity
be piye hi sharab se nafrat
ye jahaalat nahin to phir kya hai
without drinking, to abhor wine so
what is this if not igorant stupidity
kāġhaz pe ugal rahā hai nafrat
kam-zarf adiib ho gayā hai
kaghaz pe ugal raha hai nafrat
kam-zarf adib ho gaya hai
na.e saal meñ pichhlī nafrat bhulā deñ
chalo apnī duniyā ko jannat banā deñ
nae sal mein pichhli nafrat bhula den
chalo apni duniya ko jannat bana den
paḌe haiñ nafrat ke biich dil meñ baras rahā hai lahū kā sāvan
harī-bharī haiñ saroñ kī fasleñ badan pe zaḳhmoñ ke gul khile haiñ
paDe hain nafrat ke bich dil mein baras raha hai lahu ka sawan
hari-bhari hain saron ki faslen badan pe zaKHmon ke gul khile hain
saat sandūqoñ meñ bhar kar dafn kar do nafrateñ
aaj insāñ ko mohabbat kī zarūrat hai bahut
sat sanduqon mein bhar kar dafn kar do nafraten
aaj insan ko mohabbat ki zarurat hai bahut
bāhar insānoñ se nafrat hai lekin
ghar meñ Dheroñ bachche paidā karte haiñ
bahar insanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paida karte hain
majnūñ se jo nafrat hai dīvānī hai tū lailā
vo ḳhaak uḌātā hai lekin nahīñ dil mailā
majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
wo KHak uData hai lekin nahin dil maila
zoroñ pe 'salīm' ab ke hai nafrat kā bahāv
jo bach ke nikal aa.egā tairāk vahī hai
zoron pe 'salim' ab ke hai nafrat ka bahaw
jo bach ke nikal aaega tairak wahi hai
nafrat se hai nafrat ham ko priit hamārī riit
pyaar ke haiñ anmol ḳhazāne titlī phuul aur maiñ
nafrat se hai nafrat hum ko prit hamari rit
pyar ke hain anmol KHazane titli phul aur main