Saawan Shayari
bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
bārish ke sab hurūf ko ulTā ke pī gayā
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
barish ke sab huruf ko ulTa ke pi gaya
maiñ chup karātā huuñ har shab umaDtī bārish ko
magar ye roz ga.ī baat chheḌ detī hai
main chup karaata hun har shab umaDti barish ko
magar ye roz gai baat chheD deti hai
yaad aa.ī vo pahlī bārish
jab tujhe ek nazar dekhā thā
yaad aai wo pahli barish
jab tujhe ek nazar dekha tha
-
Tags : Barishand 1 more
barsāt kā bādal to dīvāna hai kyā jaane
kis raah se bachnā hai kis chhat ko bhigonā hai
barsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
-
Tag : Barish
ham se pūchho mizāj bārish kā
ham jo kachche makān vaale haiñ
hum se puchho mizaj barish ka
hum jo kachche makan wale hain
baras rahī thī bārish bāhar
aur vo bhiig rahā thā mujh meñ
baras rahi thi barish bahar
aur wo bhig raha tha mujh mein
-
Tag : Barish
vo tire nasīb kī bārisheñ kisī aur chhat pe baras ga.iiñ
dil-e-be-ḳhabar mirī baat sun use bhuul jā use bhuul jā
wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain
dil-e-be-KHabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja
ab ke sāvan meñ sharārat ye mire saath huī
merā ghar chhoḌ ke kul shahr meñ barsāt huī
ab ke sawan mein shararat ye mere sath hui
mera ghar chhoD ke kul shahr mein barsat hui
sāvan ek mahīne 'qaisar' aañsū jīvan bhar
in āñkhoñ ke aage bādal be-auqāt lage
sawan ek mahine 'qaisar' aansu jiwan bhar
in aankhon ke aage baadal be-auqat lage
nafas nafas pe yahāñ rahmatoñ kī bārish hai
hai bad-nasīb jise zindagī na raas aa.ī
nafas nafas pe yahan rahmaton ki barish hai
hai bad-nasib jise zindagi na ras aai
ho lene do bārish ham bhī ro leñge
dil meñ haiñ kuchh zaḳhm purāne dho leñge
ho lene do barish hum bhi ro lenge
dil mein hain kuchh zaKHm purane dho lenge
ye bārish kab rukegī kaun jaane
kahīñ maiñ mar na jā.ūñ tishnagī se
ye barish kab rukegi kaun jaane
kahin main mar na jaun tishnagi se
kal tire ehsās kī bārish tale
merā sūnā-pan nahāyā der tak
kal tere ehsas ki barish tale
mera suna-pan nahaya der tak
bārish kī bahut tez havā meñ kahīñ mujh ko
darpesh thā ik marhala jalne kī tarah kā
barish ki bahut tez hawa mein kahin mujh ko
darpesh tha ek marhala jalne ki tarah ka
sāvan kī is rim-jhim meñ
bhiig rahā hai tanhā chāñd
sawan ki is rim-jhim mein
bhig raha hai tanha chand
shoḳhiyāñ ma.asūmiyat schōl jhūlā bārisheñ
kitnī yādeñ saath laayā jab koī bachhḌā milā
shoKHiyan masumiyat school jhula barishen
kitni yaaden sath laya jab koi bachhDa mila
ye husn-e-nau-bahār ye sāvan kī badliyāñ
piinā hai farz aur na piinā harām aaj
ye husn-e-nau-bahaar ye sawan ki badliyan
pina hai farz aur na pina haram aaj
paḌe haiñ nafrat ke biich dil meñ baras rahā hai lahū kā sāvan
harī-bharī haiñ saroñ kī fasleñ badan pe zaḳhmoñ ke gul khile haiñ
paDe hain nafrat ke bich dil mein baras raha hai lahu ka sawan
hari-bhari hain saron ki faslen badan pe zaKHmon ke gul khile hain
rukī rukī sī hai barsāt ḳhushk hai sāvan
ye aur baat ki mausam yahī numū kā hai
ruki ruki si hai barsat KHushk hai sawan
ye aur baat ki mausam yahi numu ka hai