Sahir ki talkhiyaan: What makes a poet bitter?
The first collection of poetry by Sahir was Talkhiyan. And as the title itself suggests, The verses are filled with bitterness and indifference toward the world. What makes a poet lose belief in the world he lives in? Read these selected couplets by Sahir and seek the answer for yourself.
terā milnā ḳhushī kī baat sahī
tujh se mil kar udaas rahtā huuñ
tera milna KHushi ki baat sahi
tujh se mil kar udas rahta hun
-
Tags : Famous shayariand 5 more
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
-
Tags : Duniyaand 1 more
ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ
maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
-
Tags : Ghamand 4 more
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuuñ dekheñ zindagī ko kisī kī nazar se ham
le de ke apne pas faqat ek nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum
-
Tags : Famous shayariand 1 more
tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
Thukra na den jahan ko kahin be-dili se hum
apnī tabāhiyoñ kā mujhe koī ġham nahīñ
tum ne kisī ke saath mohabbat nibhā to dī
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin
tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
ham ġham-zada haiñ laa.eñ kahāñ se ḳhushī ke giit
deñge vahī jo pā.eñge is zindagī se ham
hum gham-zada hain laen kahan se KHushi ke git
denge wahi jo paenge is zindagi se hum
-
Tags : Famous shayariand 4 more
ik shahanshāh ne daulat kā sahārā le kar
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq
chand kaliyāñ nashāt kī chun kar muddatoñ mahv-e-yās rahtā huuñ
terā milnā ḳhushī kī baat sahī tujh se mil kar udaas rahtā huuñ
chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun
tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun
duniyā ne tajrabāt o havādis kī shakl meñ
jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
tū mujhe chhoḌ ke Thukrā ke bhī jā saktī hai
tere hāthoñ meñ mire haath haiñ zanjīr nahīñ
tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai
tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin
abhī zinda huuñ lekin sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ
ki ab tak kis tamannā ke sahāre jī liyā maiñ ne
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne
-
Tags : Ishqand 1 more
ham jurm-e-mohabbat kī sazā pā.eñge tanhā
jo tujh se huī ho vo ḳhatā saath liye jā
hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja
-
Tags : Famous shayariand 3 more
is reñgtī hayāt kā kab tak uThā.eñ baar
bīmār ab ulajhne lage haiñ tabīb se
is rengti hayat ka kab tak uThaen bar
bimar ab ulajhne lage hain tabib se
bas ab to dāman-e-dil chhoḌ do bekār ummīdo
bahut dukh sah liye maiñ ne bahut din jī liyā maiñ ne
bas ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne
-
Tag : Ummeed
mohabbat tark kī maiñ ne garebāñ sī liyā maiñ ne
zamāne ab to ḳhush ho zahr ye bhī pī liyā maiñ ne
mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
zamane ab to KHush ho zahr ye bhi pi liya main ne
-
Tags : Ishqand 1 more
ai ġham-e-duniyā tujhe kyā ilm tere vāste
kin bahānoñ se tabī.at raah par laa.ī ga.ī
ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waste
kin bahanon se tabiat rah par lai gai
-
Tags : Duniyaand 1 more
añdherī shab meñ bhī tāmīr-e-āshiyāñ na ruke
nahīñ charāġh to kyā barq to chamaktī hai
andheri shab mein bhi tamir-e-ashiyan na ruke
nahin charagh to kya barq to chamakti hai
is tarah nigāheñ mat phero, aisā na ho dhaḌkan ruk jaa.e
siine meñ koī patthar to nahīñ ehsās kā mārā, dil hī to hai
is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhaDkan ruk jae
sine mein koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai
-
Tag : Love
bahut ghuTan hai koī sūrat-e-bayāñ nikle
agar sadā na uThe kam se kam fuġhāñ nikle
bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle
agar sada na uThe kam se kam fughan nikle