Top 10 couplets of Iqbal Sajid
Popular poet from Pakistan/ Died young
apnī anā kī aaj bhī taskīn ham ne kī
jī bhar ke us ke husn kī tauhīn ham ne kī
apni ana ki aaj bhi taskin hum ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin hum ne ki
sūraj huuñ zindagī kī ramaq chhoḌ jā.ūñgā
maiñ Duub bhī gayā to shafaq chhoḌ jā.ūñgā
suraj hun zindagi ki ramaq chhoD jaunga
main Dub bhi gaya to shafaq chhoD jaunga
-
Tags : Attitudeand 2 more
vo chāñd hai to aks bhī paanī meñ aa.egā
kirdār ḳhud ubhar ke kahānī meñ aa.egā
wo chand hai to aks bhi pani mein aaega
kirdar KHud ubhar ke kahani mein aaega
pyāso raho na dasht meñ bārish ke muntazir
maaro zamīñ pe paañv ki paanī nikal paḌe
pyaso raho na dasht mein barish ke muntazir
maro zamin pe panw ki pani nikal paDe
maiñ tire dar kā bhikārī tū mire dar kā faqīr
aadmī is daur meñ ḳhuddār ho saktā nahīñ
main tere dar ka bhikari tu mere dar ka faqir
aadmi is daur mein KHuddar ho sakta nahin
-
Tags : Aadmiand 1 more
maiñ ā.īna banūñgā tū patthar uThā.egā
ik din khulī saḌak pe ye naubat bhī aa.egī
main aaina banunga tu patthar uThaega
ek din khuli saDak pe ye naubat bhi aaegi
hote hī shaam jalne lagā yaad kā alaao
aañsū sunāne dukh kī kahānī nikal paḌe
hote hi sham jalne laga yaad ka alao
aansu sunane dukh ki kahani nikal paDe
-
Tags : Aansooand 2 more
mom kī sīḌhī pe chaḌh kar chhū rahe the āftāb
phuul se chehroñ ko ye koshish bahut mahñgī paḌī
mom ki siDhi pe chaDh kar chhu rahe the aaftab
phul se chehron ko ye koshish bahut mahngi paDi
'sājid' tū phir se ḳhāna-e-dil meñ talāsh kar
mumkin hai koī yaad purānī nikal paḌe
'sajid' tu phir se KHana-e-dil mein talash kar
mumkin hai koi yaad purani nikal paDe
-
Tag : Yaad
baḌh gayā hai is qadar ab surḳh-rū hone kā shauq
log apne ḳhuun se jismoñ ko tar karne lage
baDh gaya hai is qadar ab surKH-ru hone ka shauq
log apne KHun se jismon ko tar karne lage