tum
tum mujhe pasand isii liye kuchh kuchh
duur rahtaa huu.n tum se duur hii se
rang dikhaa.ii dete hai.n tumhaare ehsaas hotaa hai tumhaare hone kaa
samajh saktaa huu.n tumhe.n behtar tariiqe par cinema kii gut.tham gutthaa qataare.n
dekh kar Gussa nahii.n aataa ek siilan bharii kholii me.n
footpath par daftar ke sa.De hu.e bil me.n
kyaa kare ko.ii is se to film hii behtar hai
gudaaz siino.n vaalii adaakaara achchhii lagtii hai screen par
is ke baa'd biivii bhii achchhii lagtii hai ghar par
tum rote ho KHush hote ho shaadii karte ho
bachche paidaa karte ho taqriibo.n me.n jaate ho qabristaano.n me.n jaate ho
ThasaaThas bharii local train me.n rummy khelte ho footboard par
thak kar bahas karte ho siyaasii mauzuaat par
'ishq karte ho kabhii kabhii sidq-e-dil se
pyaar yaa'nii bosa-baazii bhii karte ho khul kar
morche nikaalte ho naa're lagaate ho magar
KHushk nahii.n hotaa tumhaaraa galaa kisii lamhe bhii
chane chabaate ho goliyaa.n khaate ho shahiid hote ho
phir tumhaarii yaadgaaro.n par
kavve biiT karte hai.n aur kaamyaab siyaasii netaa
haar cha.Dhaate hai.n tumhe.n chunaav se pahle
tum jeb kaaTte ho bhaashan sunte ho
hukuumat aur sharaab ke aDDe chalaate ho mandir jaate ho
chaaquu dikhaate ho boycott karte ho laf.De karte ho
tumhaare paas aatmaa qayaasaat-o-nazariyaat ke
kuulho.n par laat maarne vaalii aatmaa
tum bahte chale jaate ho musalsal bahte rahte ho
raftaar ulTii siidhii uupar niiche aa.Dii tirchhii raftaar
karnaa hogaa hogaa honaa hii hogaa
sochne kaa bhii vaqt nahii.n pas lagaataar jiite rahte ho
tumhaarii nasle.n dafan ho jaatii hai.n yahii tumhaarii rivaayat hai
tum daadaa ho galii se lekar dillii tak ke
tum vote dete ho sa.Dak par peshaab karte ho
tumhe.n baavaa bhii chaahiye aur bev.Daa bhii
aur phir tum hii us kii jayantii manaate ho
bhuuke naaKHuno.n se noch lete ho
vo saare sapne jo mahaatmaa.o.n ne tumhaarii KHaatir dekhe the
aur jab tumhaarii biivii bachcha jantii hai
tab tum be-qaraarii se Tahalte ho
intizaar karte ho ek 'ajiib bechainii ke saath
ek na.ii nannhii sii aane vaalii duniyaa kaa
aur jab laal miTii bhare Tiin ke za.ng-KHurda Dibbo.n ko
tum gamlo.n kii suurat laTkaate ho
un me.n phuul ugaate ho tab tum aise lagte ho
jaise chehro.n kaa ek gahraa be-ant saagar
jaise ek dha.Daktaa hu.aa dil bahut hii vishaal
aise bharpuurpan me.n apnii vishaaltaa tum KHud ho
tab mujhe miltaa hai apnaa bharpuur aadamiyo.n
tumhaare vajuud kaa ehsaas karte hu.e apne lahuu me.n
tumhaarepan kii kokh me.n paltaa hu.aa mahsuus hotaa hai mujhe
meraapan aur ruuh me.n utar jaane vaale mere naGme

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.