Rahat Indori
Ghazal 67
Sher-o-Shayari 45
na.e kirdār aate jā rahe haiñ
magar nāTak purānā chal rahā hai
nae kirdar aate ja rahe hain
magar naTak purana chal raha hai
-
Share this
- See Ghazal
ek hī naddī ke haiñ ye do kināre dosto
dostāna zindagī se maut se yaarī rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 11
kaam sab Gair-zaruurii hai.n jo sab karte hai.n aur ham kuchh nahii.n karte hai.n Gazab karte hai.n aap kii nazro.n me.n suuraj kii hai jitnii azmat ham charaaGo.n kaa bhii utnaa hii adab karte hai.n ham pe haakim kaa ko.ii hukm nahii.n chaltaa hai ham qalandar hai.n shahanshaah laqab karte hai.n dekhiye jis ko use dhun hai masiihaa.ii kii aaj kal shahr ke biimaar matab karte hai.n KHud ko patthar saa banaa rakkhaa hai kuchh logo.n ne bol sakte hai.n magar baat hii kab karte hai.n ek ik pal ko kitaabo.n kii tarah pa.Dhne lage umr bhar jo na kiyaa ham ne vo ab karte hai.n
mai.n laakh kah duu.n ki aakaash huu.n zamii.n huu.n mai.n magar use to KHabar hai ki kuchh nahii.n huu.n mai.n ajiib log hai.n merii talaash me.n mujh ko vahaa.n pe Dhuu.nD rahe hai.n jahaa.n nahii.n huu.n mai.n mai.n aa.ino.n se to maayuus lauT aayaa thaa magar kisii ne bataayaa bahut hasii.n huu.n mai.n vo zarre zarre me.n maujuud hai magar mai.n bhii kahii.n kahii.n huu.n kahaa.n huu.n kahii.n nahii.n huu.n mai.n vo ik kitaab jo mansuub tere naam se hai usii kitaab ke andar kahii.n kahii.n huu.n mai.n sitaaro aa.o mirii raah me.n bikhar jaa.o ye meraa hukm hai haalaa.nki kuchh nahii.n huu.n mai.n yahii.n husain bhii guzre yahii.n yaziid bhii thaa hazaar rang me.n Duubii hu.ii zamii.n huu.n mai.n ye buu.Dhii qabre.n tumhe.n kuchh nahii.n bataa.e.ngii mujhe talaash karo dosto yahii.n huu.n mai.n