Sarwar Alam Raz
Ghazal 11
Nazm 1
Sher-o-Shayari 9
aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū
ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
-
Share this
- See Ghazal
be-kaif javānī hai be-dard zamāna hai
nākām-e-mohabbat kā itnā hī fasāna hai
be-kaif jawani hai be-dard zamana hai
nakaam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai
-
Share this
- See Ghazal
shauq hai tujh ko zamāne meñ tirā naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat mirī bad-nām na ho
shauq hai tujh ko zamane mein tera nam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat meri bad-nam na ho
-
Share this
- See Ghazal
āġhāz-e-mohabbat se anjām-e-mohabbat tak
''ik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai''
aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
ik aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
-
Share this
- See Ghazal
dekh ye jazb-e-mohabbat kā karishma to nahīñ
kal jo tere dil meñ thā vo aaj mere dil meñ hai
dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin
kal jo tere dil mein tha wo aaj mere dil mein hai
-
Share this
- See Ghazal