Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdurrahman Wasif's Photo'

Abdurrahman Wasif

1980 | Kahuta, Pakistan

Abdurrahman Wasif

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 10

abhī se mat mire kirdār ko marā huā jaan

tire fasāne meñ zikr aa.egā dobārā mirā

abhi se mat mere kirdar ko mara hua jaan

tere fasane mein zikr aaega dobara mera

ik intizār meñ qaa.em hai is charāġh lau

ik ehtimām meñ kamre dar khulā huā hai

ek intizar mein qaem hai is charagh ki lau

ek ehtimam mein kamre ka dar khula hua hai

saath dene baat saare kareñ

aur nibhā.e koī koī mire dost

sath dene ki baat sare karen

aur nibhae koi koi mere dost

mujhe ab aa ga.e haiñ nafratoñ ke biij bone

so merā haq ye bantā hai ki sardārī karūñgā

mujhe ab aa gae hain nafraton ke bij bone

so mera haq ye banta hai ki sardari karunga

koī charāġh mirī samt bhī ravāna karo

bahut dinoñ se añdherā mire vajūd meñ hai

koi charagh meri samt bhi rawana karo

bahut dinon se andhera mere wajud mein hai

More Poets From "Kahuta"

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now