aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur kī achchhī
na un kī dostī achchhī na un kī dushmanī achchhī
hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi
ka.aba ke Dhāne vaale vo aur log hoñge
ham kufr jānte haiñ dil toḌnā kisī kā
kaba ke Dhane wale wo aur log honge
hum kufr jaante hain dil toDna kisi ka
mire junūñ kā natīja zarūr niklegā
isī siyāh samundar se nuur niklegā
mere junun ka natija zarur niklega
isi siyah samundar se nur niklega
tū bhī saada hai kabhī chaal badaltā hī nahīñ
ham bhī saada haiñ isī chaal meñ aa jaate haiñ
tu bhi sada hai kabhi chaal badalta hi nahin
hum bhi sada hain isi chaal mein aa jate hain
kyā kahūñ us se ki jo baat samajhtā hī nahīñ
vo to milne ko mulāqāt samajhtā hī nahīñ
kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin
wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books