Ada Jafarey
Ghazal 43
Nazm 18
Sher-o-Shayari 58
agar sach itnā zālim hai to ham se jhuuT hī bolo
hameñ aatā hai patjhaḌ ke dinoñ gul-bār ho jaanā
agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo
hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana
-
Share this
- See Ghazal
jis kī jānib 'adā' nazar na uThī
haal us kā bhī mere haal sā thā
jis ki jaanib 'ada' nazar na uThi
haal us ka bhi mere haal sa tha
-
Share this
- See Ghazal
ḳhazīne jaañ ke luTāne vaale diloñ meñ basne kī aas le kar
sunā hai kuchh log aise guzre jo ghar se aa.e na ghar ga.e haiñ
KHazine jaan ke luTane wale dilon mein basne ki aas le kar
suna hai kuchh log aise guzre jo ghar se aae na ghar gae hain
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 19
Image Shayari 6
vaise hii KHayaal aa gayaa hai yaa dil me.n malaal aa gayaa hai aa.nsuu jo rukaa vo kisht-e-jaa.n me.n baarish kii misaal aa gayaa hai Gam ko na ziyaa.n kaho ki dil me.n ik saahib-e-haal aa gayaa hai jugnuu hii sahii fasiil-e-shab me.n aa.iina-KHisaal aa gayaa hai aa dekh ki mere aa.nsu.o.n me.n ye kis kaa jamaal aa gayaa hai muddat hu.ii kuchh na dekhne kaa aa.nkho.n ko kamaal aa gayaa hai mai.n kitne hisaar to.D aa.ii jiinaa thaa muhaal aa gayaa hai