Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Hamdani's Photo'

Ahmad Hamdani

1927 - 2015 | Karachi, Pakistan

Poet and critic, known for his critical book on the art of Iqbal

Poet and critic, known for his critical book on the art of Iqbal

Sher of Ahmad Hamdani

mayassar thā to dil meñ the hazāroñ armāñ

nahīñ hai to har ik samt ajab rañg-e-malāl

tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman

tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal

vo merī raah meñ kāñTe bichhā.e maiñ lekin

usī ko pyaar karūñ us pe e'tibār karūñ

wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin

usi ko pyar karun us pe e'tibar karun

kyuuñ hamāre saañs bhī hote haiñ logoñ par girāñ

ham bhī to ik umr le kar is jahāñ meñ aa.e the

kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran

hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the

ajiib vahshateñ hisse meñ apne aa.ī haiñ

ki tere ghar bhī pahuñch kar sakūñ na paa.eñ ham

ajib wahshaten hisse mein apne aai hain

ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum

na jaane aaj ye kis ḳhayāl aaya hai

ḳhushī rang liye har malāl aaya hai

TRANSLATION

Whose memory knocks today, I know not the plight.

For every sorrow is visiting me in the garb of delight.

Sagar Akbarabadi

na jaane aaj ye kis ka KHayal aaya hai

KHushi ka rang liye har malal aaya hai

TRANSLATION

Whose memory knocks today, I know not the plight.

For every sorrow is visiting me in the garb of delight.

Sagar Akbarabadi

kis ko batā.eñ ab ki na chal kar tamām umr

ham ne ḳhud apne aap meñ kitnā safar kiyā

kis ko bataen ab ki na chal kar tamam umr

hum ne KHud apne aap mein kitna safar kiya

ab ye hogā shāyad apnī aag meñ ḳhud jal jā.eñge

tum se duur bahut rah kar bhī kyā paayā kyā pā.eñge

TRANSLATION

Perhaps this will happen now, I will burn in my own fire,

Separated from you what did I gain, and what is there to desire.

Sagar Akbarabadi

ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge

tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya paenge

TRANSLATION

Perhaps this will happen now, I will burn in my own fire,

Separated from you what did I gain, and what is there to desire.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now