Sher of Saqib Lakhnavi
zamāna baḌe shauq se sun rahā thā
hamīñ so ga.e dāstāñ kahte kahte
zamana baDe shauq se sun raha tha
hamin so gae dastan kahte kahte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bāġhbāñ ne aag dī jab āshiyāne ko mire
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage
baghban ne aag di jab aashiyane ko mere
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aadhī se ziyāda shab-e-ġham kaaT chukā huuñ
ab bhī agar aa jaao to ye raat baḌī hai
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun
ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai
muTThiyoñ meñ ḳhaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagī bhar kī mohabbat kā silā dene lage
muTThiyon mein KHak le kar dost aae waqt-e-dafn
zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage
mushkil-e-ishq meñ lāzim hai tahammul 'sāqib'
baat bigḌī huī bantī nahīñ ghabrāne se
mushkil-e-ishq mein lazim hai tahammul 'saqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabrane se
sunñe vaale ro diye sun kar marīz-e-ġham kā haal
dekhne vaale taras khā kar duā dene lage
sunne wale ro diye sun kar mariz-e-gham ka haal
dekhne wale taras kha kar dua dene lage
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hijr kī shab nāla-e-dil vo sadā dene lage
sunñe vaale raat kaTne kī duā dene lage
hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage
sunne wale raat kaTne ki dua dene lage
jis shaḳhs ke jiite jī pūchhā na gayā 'sāqib'
us shaḳhs ke marne par uTThe haiñ qalam kitne
jis shaKHs ke jite ji puchha na gaya 'saqib'
us shaKHs ke marne par uTThe hain qalam kitne
apne dil-e-betāb se maiñ ḳhud huuñ pareshāñ
kyā duuñ tumheñ ilzām maiñ kuchh soch rahā huuñ
apne dil-e-betab se main KHud hun pareshan
kya dun tumhein ilzam main kuchh soch raha hun
sone vāloñ ko kyā ḳhabar ai hijr
kyā huā ek shab meñ kyā na huā
sone walon ko kya KHabar ai hijr
kya hua ek shab mein kya na hua
bū-e-gul phūloñ meñ rahtī thī magar rah na sakī
maiñ to kāñToñ meñ rahā aur pareshāñ na huā
bu-e-gul phulon mein rahti thi magar rah na saki
main to kanTon mein raha aur pareshan na hua
kis nazar se aap ne dekhā dil-e-majrūh ko
zaḳhm jo kuchh bhar chale the phir havā dene lage
kis nazar se aap ne dekha dil-e-majruh ko
zaKHm jo kuchh bhar chale the phir hawa dene lage
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai chaman vaalo chaman meñ yuuñ guzārā chāhiye
bāġhbāñ bhī ḳhush rahe raazī rahe sayyād bhī
ai chaman walo chaman mein yun guzara chahiye
baghban bhi KHush rahe raazi rahe sayyaad bhi
us ke sunñe ke liye jama.a huā hai mahshar
rah gayā thā jo fasāna mirī rusvā.ī kā
us ke sunne ke liye jama hua hai mahshar
rah gaya tha jo fasana meri ruswai ka
dīda-e-dost tirī chasm-numā.ī kī qasam
maiñ to samjhā thā ki dar khul gayā mai-ḳhāne kā
dida-e-dost teri chasm-numai ki qasam
main to samjha tha ki dar khul gaya mai-KHane ka
aap uTh rahe haiñ kyuuñ mire āzār dekh kar
dil Dūbte haiñ hālat-e-bīmār dekh kar
aap uTh rahe hain kyun mere aazar dekh kar
dil Dubte hain haalat-e-bimar dekh kar
balā se ho pāmāl saarā zamāna
na aa.e tumheñ paañv rakhnā sambhal kar
bala se ho pamal sara zamana
na aae tumhein panw rakhna sambhal kar
chal ai ham-dam zarā sāz-e-tarab kī chheḌ bhī sun leñ
agar dil baiTh jā.egā to uTh ā.eñge mahfil se
chal ai ham-dam zara saz-e-tarab ki chheD bhi sun len
agar dil baiTh jaega to uTh aaenge mahfil se
kahne ko musht-e-par kī asīrī to thī magar
ḳhāmosh ho gayā hai chaman boltā huā
kahne ko musht-e-par ki asiri to thi magar
KHamosh ho gaya hai chaman bolta hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download