Sher of Syed Zameer Jafri
ham ne kitne dhoke meñ sab jīvan kī barbādī kī
gaal pe ik til dekh ke un ke saare jism se shādī kī
hum ne kitne dhoke mein sab jiwan ki barbaadi ki
gal pe ek til dekh ke un ke sare jism se shadi ki
bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai
vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai
bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
ab ek rumal mere sath ka hai
jo meri walida ke hath ka hai
-
Tag : Mother
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek lamha bhī masarrat kā bahut hotā hai
log jiine kā salīqa hī kahāñ rakhte haiñ
ek lamha bhi masarrat ka bahut hota hai
log jine ka saliqa hi kahan rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hañs magar hañsne se pahle soch le
ye na ho phir umr bhar ronā paḌe
hans magar hansne se pahle soch le
ye na ho phir umr bhar rona paDe
dard meñ lazzat bahut ashkoñ meñ ra.anā.ī bahut
ai ġham-e-hastī hameñ duniyā pasand aa.ī bahut
dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniya pasand aai bahut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un kā darvāza thā mujh se bhī sivā mushtāq-e-dīd
maiñ ne bāhar kholnā chāhā to vo andar khulā
un ka darwaza tha mujh se bhi siwa mushtaq-e-did
main ne bahar kholna chaha to wo andar khula
jitnā baḌhtā gayā shu.ūr-e-hunar
ḳhud ko utnā hī be-hunar jaanā
jitna baDhta gaya shuur-e-hunar
KHud ko utna hi be-hunar jaana
zāhid ḳhudī-farosh to vaa.iz ḳhudā-farosh
donoñ buzurg merī nazar se guzar ga.e
zahid KHudi-farosh to waiz KHuda-farosh
donon buzurg meri nazar se guzar gae