Sher of Alimullah
ajab kuchh ishq kī ḳhush-tar hai vaadī
ki jis vaadī meñ hai har vaqt shādī
ajab kuchh ishq ki KHush-tar hai wadi
ki jis wadi mein hai har waqt shadi
yaar ke darsan ke ḳhātir jaan aur tan bhuul jā
aañkh munavvar dekh us kā rañg-e-gulshan bhuul jā
yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja
aankh munawwar dekh us ka rang-e-gulshan bhul ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq ke kūche meñ jab jaatā hai dil karne ko sair
vaañ nahīñ ma.alūm hotā roz hai yā raat hai
ishq ke kuche mein jab jata hai dil karne ko sair
wan nahin malum hota roz hai ya raat hai
tark de islām ko aur kufr saarā duur kar
chhoḌ de hirs-o-havā farzand aur zan bhuul jā
tark de islam ko aur kufr sara dur kar
chhoD de hirs-o-hawa farzand aur zan bhul ja
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tālāb irāde kā bhare pal meñ labālab
jab yaar ke dariyā-e-karam suuñ lahr aave
talab irade ka bhare pal mein labaalab
jab yar ke dariya-e-karam sun lahr aawe
chaman suuñ dil ke aalam ko ḳhabar nahiñ
hamesha dekhte ḳhākī badan ko
chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin
hamesha dekhte KHaki badan ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download