Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Warsi's Photo'

Aziz Warsi

1924 - 1989 | Delhi, India

Sher of Aziz Warsi

725
Favorite

SORT BY

ik vaqt thā ki dil ko sukūñ talāsh thī

aur ab ye aarzū hai ki dard-e-nihāñ rahe

ek waqt tha ki dil ko sukun ki talash thi

aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihan rahe

mirī taqdīr se pahle sañvarnā jin mushkil hai

tirī zulfoñ meñ kuchh aise bhī ḳham mahsūs kartā huuñ

meri taqdir se pahle sanwarna jin ka mushkil hai

teri zulfon mein kuchh aise bhi KHam mahsus karta hun

jahāñ meñ ham jise bhī pyaar ke qābil samajhte haiñ

haqīqat meñ usī ko ziist hāsil samajhte haiñ

jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain

haqiqat mein usi ko zist ka hasil samajhte hain

dil meñ ab kuchh bhī nahīñ un mohabbat ke sivā

sab fasāne haiñ haqīqat meñ haqīqat ke sivā

dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke siwa

sab fasane hain haqiqat mein haqiqat ke siwa

tum pe ilzām na aa jaa.e safar meñ koī

rāsta kitnā dushvār ho Thahrā na karo

tum pe ilzam na aa jae safar mein koi

rasta kitna hi dushwar ho Thahra na karo

tirī mahfil meñ farq-e-kufr-o-īmāñ kaun dekhegā

fasāna nahīñ koī to unvāñ kaun dekhegā

teri mahfil mein farq-e-kufr-o-iman kaun dekhega

fasana hi nahin koi to unwan kaun dekhega

ġham-e-uqbā ġham-e-daurāñ ġham-e-hastī qasam

aur bhī ġham haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā

gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-hasti ki qasam

aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa

kaise mumkin hai ki ham donoñ bichhaḌ jā.eñge

itnī gahrā.ī se har baat ko sochā na karo

kaise mumkin hai ki hum donon bichhaD jaenge

itni gahrai se har baat ko socha na karo

mujh se ye pūchh rahe haiñ mire ahbāb 'azīz'

kyā milā shahr-e-suḳhan meñ tumheñ shohrat ke sivā

mujh se ye puchh rahe hain mere ahbab 'aziz'

kya mila shahr-e-suKHan mein tumhein shohrat ke siwa

ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ

bahr-ālam tumhārā karam mahsūs kartā huuñ

KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun

bahr-alam tumhaara hi karam mahsus karta hun

mohabbat lafz to saada hai lekin 'azīz' is ko

matā-e-dil samajhte the matā-e-dil samajhte haiñ

mohabbat lafz to sada sa hai lekin 'aziz' is ko

mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain

mohtasib aao chaleñ aaj to mai-ḳhāne meñ

ek jannat hai vahāñ aap jannat ke sivā

mohtasib aao chalen aaj to mai-KHane mein

ek jannat hai wahan aap ki jannat ke siwa

tumhārī zaat se mansūb hai dīvāngī merī

tumhīñ se ab mirī dīvāngī dekhī nahīñ jaatī

tumhaari zat se mansub hai diwangi meri

tumhin se ab meri diwangi dekhi nahin jati

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now