Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bashir Farooqi's Photo'

Bashir Farooqi

1939 - 2019 | Lucknow, India

Sher of Bashir Farooqi

āgahī karb vafā sabr tamannā ehsās

mere siine meñ utre haiñ ye ḳhanjar saare

aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas

mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare

chale bhī aao ki ye Dūbtā huā sūraj

charāġh jalne se pahle mujhe bujhā degā

chale bhi aao ki ye Dubta hua suraj

charagh jalne se pahle mujhe bujha dega

ham tere paas aa ke pareshān haiñ bahut

ham tujh se duur rahne ko tayyār bhī nahīñ

hum tere pas aa ke pareshan hain bahut

hum tujh se dur rahne ko tayyar bhi nahin

ajab aag thī jaltā rahā badan saarā

tamām umr vo hoñToñ pe ban ke pyaas rahā

ajab si aag thi jalta raha badan sara

tamam umr wo honTon pe ban ke pyas raha

pahle ham ne ghar banā kar fāsle paidā kiye

phir uThā diiñ aur dīvāreñ gharoñ ke darmiyāñ

pahle hum ne ghar bana kar fasle paida kiye

phir uTha din aur diwaren gharon ke darmiyan

tazkire meñ tire ik naam ko yuuñ joḌ diyā

dostoñ ne mujhe shīshe tarah toḌ diyā

tazkire mein tere ek nam ko yun joD diya

doston ne mujhe shishe ki tarah toD diya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now