Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farhan Hanif Warsi's Photo'

Farhan Hanif Warsi

1966 | Mumbai, India

Sher of Farhan Hanif Warsi

163
Favorite

SORT BY

jis ḳhātir sabhī rishtoñ se huā thā munkir

ab sunā hai ki vahī shaḳhs ḳhafā hai mujh se

jis ki KHatir sabhi rishton se hua tha munkir

ab suna hai ki wahi shaKHs KHafa hai mujh se

vo ek moḌ jahāñ vo kabhī milā thā mujhe

us ek moḌ par us ko judā bhī honā thā

wo ek moD jahan wo kabhi mila tha mujhe

us ek moD par us ko juda bhi hona tha

mujh se bichhḌā hai magar ye bhī na sochā ne

is qadar TuuT ke phir kaun tujhe chāhegā

mujh se bichhDa hai magar ye bhi na socha tu ne

is qadar TuT ke phir kaun tujhe chahega

aur kyā deñge ham tujhe jānāñ

zindagī tere naam karte haiñ

aur kya denge hum tujhe jaanan

zindagi tere nam karte hain

abhī mujh meñ bahut himmat hai lekin

kisī haare hue lashkar meñ huuñ maiñ

abhi mujh mein bahut himmat hai lekin

kisi haare hue lashkar mein hun main

tumhī ne raah meñ ik ghar basā liyā varna

mohabbatoñ safar to tavīl thā jānāñ

tumhi ne rah mein ek ghar basa liya warna

mohabbaton ka safar to tawil tha jaanan

sabt hai mere laboñ par aaj bhī terā vo lams

aaj bhī hai tere ḳhvāboñ baserā aañkh meñ

sabt hai mere labon par aaj bhi tera wo lams

aaj bhi hai tere KHwabon ka basera aankh mein

parinde so ga.e ke gharoñ meñ

shajar jangal meñ phir kyuuñ jāgtā hai

parinde so gae ja ke gharon mein

shajar jangal mein phir kyun jagta hai

roz mujh ko vo yaad aatā hai

roz maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ

roz mujh ko wo yaad aata hai

roz main KHud ko bhul jata hun

ye rasta to sīdhā us ke ghar tak kar ruktā hai

ai mere āvāra qadmo kis ruḳh par le aa.e tum

ye rasta to sidha us ke ghar tak ja kar rukta hai

ai mere aawara qadmo kis ruKH par le aae tum

ye ghaTā jaam aur tanhā.ī

yaad aatā hai bevafā koī

ye ghaTa jam aur tanhai

yaad aata hai bewafa koi

us se milne bahāna chāhe

dil vahī dard purānā chāhe

us se milne ka bahana chahe

dil wahi dard purana chahe

mutma.in hai ye merī qaum bahut

bhī kuchh ḳhush-gumāniyāñ de

mutmain hai ye meri qaum bahut

tu bhi kuchh KHush-gumaniyan de ja

varaq varaq haiñ yahāñ hādsāt-e-roz-o-shab

kitāb-e-zīst maiñ mansūb ab karūñ kis se

waraq waraq hain yahan hadsat-e-roz-o-shab

kitab-e-zist main mansub ab karun kis se

vo mere naam kare apnī ḳhushbueñ irsāl

maiñ us ke naam karūñ apnī shā.irī sochūñ

wo mere nam kare apni KHushbuen irsal

main us ke nam karun apni shairi sochun

ye aur baat ki bhūlegā ḳhadd-o-ḳhāl magar

vo mujh ko yaad rakhegā kisī kathā tarah

ye aur baat ki bhulega KHadd-o-KHal magar

wo mujh ko yaad rakhega kisi katha ki tarah

avval avval to is ko sab dilchaspī se paḌhte haiñ

jaise merā chehra bhī aḳhbār koī column ho

awwal awwal to is ko sab dilchaspi se paDhte hain

jaise mera chehra bhi aKHbar ka koi column ho

maiñ bhī sapne dar aane ke sab raste masdūd karūñ

tum bhī āñkheñ band na karnā vasl mausam aane tak

main bhi sapne dar aane ke sab raste masdud karun

tum bhi aankhen band na karna wasl ka mausam aane tak

us andāz ruuTh jaane

hai bahāna qarīb aane

us ka andaz ruTh jaane ka

hai bahana qarib aane ka

diloñ ke mel se aage laboñ ke silsile saare

jo lab ḳhāmosh hote haiñ to āñkheñ baat kartī haiñ

dilon ke mel se aage labon ke silsile sare

jo lab KHamosh hote hain to aankhen baat karti hain

har sochtā dimāġh har ik dekhtī nazar

lamhoñ bhāg-dauḌ meñ shāmil hai in dinoñ

har sochta dimagh har ek dekhti nazar

lamhon ki bhag-dauD mein shamil hai in dinon

vo āñkhoñ se utar aayā hai dil meñ

isī manzar ke pas-manzar meñ huuñ maiñ

wo aankhon se utar aaya hai dil mein

isi manzar ke pas-manzar mein hun main

raat bhar koī sūraj dahaktā lage

merī āñkhoñ ke ye nuur aañsū ajab

raat bhar koi suraj dahakta lage

meri aankhon ke ye nur aansu ajab

hamārī chāhateñ sach haiñ magar hālāt dariyā

mujhe is paar rakhtā hai tujhe us paar rakhtā hai

hamari chahaten sach hain magar haalat ka dariya

mujhe is par rakhta hai tujhe us par rakhta hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now