Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khurshid Ahmad Jami's Photo'

Khurshid Ahmad Jami

1911 - 1970 | Hyderabad, India

A prominent poet of modern Urdu ghazal

A prominent poet of modern Urdu ghazal

Khurshid Ahmad Jami

Ghazal 29

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 15

koī halchal hai na aahaT na sadā hai koī

dil dahlīz pe chup-chāp khaḌā hai koī

koi halchal hai na aahaT na sada hai koi

dil ki dahliz pe chup-chap khaDa hai koi

sahar ke saath chale raushnī ke saath chale

tamām umr kisī ajnabī ke saath chale

sahar ke sath chale raushni ke sath chale

tamam umr kisi ajnabi ke sath chale

yād-e-māzī pur-asrār hasīñ galiyoñ meñ

mere hamrāh abhī ghuum rahā hai koī

yaad-e-mazi ki pur-asrar hasin galiyon mein

mere hamrah abhi ghum raha hai koi

baḌe dilchasp vaade the baḌe rañgīn dhoke the

guloñ aarzū meñ zindagī shole uThā laa.ī

baDe dilchasp wade the baDe rangin dhoke the

gulon ki aarzu mein zindagi shole uTha lai

yādoñ ke daraḳhtoñ hasīñ chhāñv meñ jaise

aatā hai koī shaḳhs bahut duur se chal ke

yaadon ke daraKHton ki hasin chhanw mein jaise

aata hai koi shaKHs bahut dur se chal ke

BOOKS 14

More Authors From "Hyderabad"

Recitation

Speak Now