Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mansoor Khushtar's Photo'

Mansoor Khushtar

1986 | Darbhanga, India

Sher of Mansoor Khushtar

tavajjoh aap farmā.eñ agar to

kuchh ham bhī arz karnā chāhte haiñ

tawajjoh aap farmaen agar to

kuchh hum bhi arz karna chahte hain

yaqīñ kar ki maiñ tujh se bhī ziyāda chāhtā us ko

jo mere jaisā terā aur koī qadr-dāñ hotā

yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chahta us ko

jo mere jaisa tera aur koi qadr-dan hota

tire jaur-o-jafā ham kabhī shikva nahīñ karte

mohabbat jis se karte haiñ use rusvā nahīñ karte

tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte

mohabbat jis se karte hain use ruswa nahin karte

thā jo ik kāfir musalmāñ ho gayā

pal meñ vīrāna gulistāñ ho gayā

tha jo ek kafir musalman ho gaya

pal mein virana gulistan ho gaya

nāz-o-andāz qīmat hai tire mere sabab

kis mahfil meñ bhalā aur ġhazab Dhāoge

naz-o-andaz ki qimat hai tere mere sabab

kis ki mahfil mein bhala aur ghazab Dhaoge

jo kabhī dīvār pe laTkā.ī thī

ab tire kamre zīnat bhī nahīñ

jo kabhi diwar pe laTkai thi

ab tere kamre ki zinat bhi nahin

kisī se sarguzisht-e-ġham bayāñ kartā huuñ jab apnī

kahānī vo sarāsar aap ma.alūm hotī hai

kisi se sarguzisht-e-gham bayan karta hun jab apni

kahani wo sarasar aap ki malum hoti hai

Recitation

Speak Now