Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Meer Hasan's Photo'

Meer Hasan

1717 - 1786 | Lucknow, India

Considered to be the foremost poet of masnavi

Considered to be the foremost poet of masnavi

TOP 20 SHAYARI of Meer Hasan

sadā aish daurāñ dikhātā nahīñ

gayā vaqt phir haath aatā nahīñ

sada aish dauran dikhata nahin

gaya waqt phir hath aata nahin

dostī kis se na thī kis se mujhe pyaar na thā

jab bure vaqt pe dekhā to koī yaar na thā

dosti kis se na thi kis se mujhe pyar na tha

jab bure waqt pe dekha to koi yar na tha

āsāñ na samajhiyo tum naḳhvat se paak honā

ik umr kho ke ham ne sīkhā hai ḳhaak honā

aasan na samajhiyo tum naKHwat se pak hona

ek umr kho ke hum ne sikha hai KHak hona

āshnā bevafā nahīñ hotā

bevafā āshnā nahīñ hotā

aashna bewafa nahin hota

bewafa aashna nahin hota

aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz

ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham

aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz

ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum

jo koī aave hai nazdīk baiThe hai tire

ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ

whoever comes takes his place here right by your side

how long with this displacement from you shall I abide

jo koi aawe hai nazdik hi baiThe hai tere

hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen

whoever comes takes his place here right by your side

how long with this displacement from you shall I abide

ġhair ko tum na aañkh bhar dekho

kyā ġhazab karte ho idhar dekho

ghair ko tum na aankh bhar dekho

kya ghazab karte ho idhar dekho

jān-o-dil haiñ udaas se mere

uTh gayā kaun paas se mere

jaan-o-dil hain udas se mere

uTh gaya kaun pas se mere

itne aañsū to na the dīda-e-tar ke aage

ab to paanī bharā rahtā hai ghar ke aage

itne aansu to na the dida-e-tar ke aage

ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage

qismat ne duur aisā pheñkā hameñ ki ham

phir jīte-jī pahuñch na sake apne yaar tak

qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum

phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak

iz.hār-e-ḳhamoshī meñ hai sau tarah fariyād

zāhir ye parda hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

izhaar-e-KHamoshi mein hai sau tarah ki fariyaad

zahir ka ye parda hai ki main kuchh nahin kahta

go bhale sab haiñ aur maiñ huuñ burā

kyā bhaloñ meñ burā nahīñ hotā

go bhale sab hain aur main hun bura

kya bhalon mein bura nahin hota

vasl hotā hai jin ko duniyā meñ

yārab aise bhī log hote haiñ

wasl hota hai jin ko duniya mein

yarab aise bhi log hote hain

kyuuñ in dinoñ 'hasan' itnā jhaTak gayā hai

zālim kahīñ tirā dil kyā phir aTak gayā hai

kyun in dinon 'hasan' tu itna jhaTak gaya hai

zalim kahin tera dil kya phir aTak gaya hai

Tuk dekh leñ chaman ko chalo lāla-zār tak

kyā jaane phir ji.eñ na ji.eñ ham bahār tak

Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak

kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak

maiñ ne jo kahā mujh pe kyā kyā na sitam guzrā

bolā ki abe terā rote janam guzrā

main ne jo kaha mujh pe kya kya na sitam guzra

bola ki abe tera rote hi janam guzra

ham ko bhī dushmanī se tire kaam kuchh nahīñ

tujh ko agar hamāre nahīñ pyaar se ġharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin

tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

furqat shab meñ aaj phir kyā jalāveñge

dil diyā thā ek so kal jalā diyā

furqat ki shab mein aaj ki phir kya jalawenge

dil ka diya tha ek so kal hi jala diya

na ġharaz mujh ko hai kāfir se na dīñ-dār se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kākul-e-ḳhamdār se kaam

na gharaz mujh ko hai kafir se na din-dar se kaam

roz-o-shab hai mujhe us kakul-e-KHamdar se kaam

is ko ummīd nahīñ hai kabhī phir basne ke

aur vīrānoñ se is dil hai vīrāna judā

is ko ummid nahin hai kabhi phir basne ke

aur viranon se is dil ka hai virana juda

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now